Mai Kaise Kamaya 1 hr Me 10 Hazar Rupees

42

Hello Dosto Aapko to pata hai main ek bar 10 days me 4 lakh se jayada earn kiya tha but usme mujhe bahut mehnat karni padi thi but isme to kuchh bhi mehnat nahi karni padi agar aap ye nahi padhe hai maine 10 din me 4 lakh rs kaise kamaya tha to aap ye article jarur read kare

earn money short tearm idea in hindi

Aapne upar mere fb post ka screenshot dekh rahe hai, jisme maine only 50 likes ka target kiya tha but 10 min me hi pura ho gaya aur abhi itne 06 ghante me 250 itne likes aa gaye aur babhut sare comment bhi,

Mai itne likes aur comment dekhkar hairan ho gaya yar log itne exicted ho gaye jaise maine Lakho champ diya, logo ko itna jaldi likes par likes dekhkar mai hairan hu ek to man kiya share hi na karu kyuki aisa kuchh bada kiya nahi jo batau but itne log janne ke liye bekrar ho gaye |

Mai isse facebook par na batakar blog par bata raha hu kyu aage bataunga kyuki itni chhoti bate yaha share nahi karna tha but itne logo ko dekhkar man badal gaya aur yaha share karne ka fayda aage mai bataya hu

Actully dopahar ka time tha mera keyboard kharab ho gaya tha to mai naya keyboard lene gaya tha waha keyboard bagairh ka bat kar hi raha tha wahi dusra customer uske sath koi apna hoga jo aapas me bat kar raha tha naya laptop hi le lete hai 5 laptop phir ek bol raha tha purana lenge to iska dauble se jayada aa jayega,

Phir maine keyboard liya payment kar raha tha ki usne usi dukandar se puchh raha tha yaha koi bada dukan nahi hai jo cheap rate me old laptop sell karta ho wo dukandar bata hi raha tha ho jayega phir usne kaha kab chahiye usne kaha aaj hi,

dukandar ne kaha nahi aap parso aaiye wo aadmi bola nahi mujhe begusarai aane me 3 hr lag jata hai phir time nahi nikal paunga, aap kisi aur dukan ke bare me bata dijiye usne usse bola yaha mere alawa koi nahi bechta hai,

मै कैसे कमाया 1 घंटा में 10 हज़ार रुपये ? Mai Kaise Kamaya 1 hr Me 10 Hazar Rupees , 

Maine keyboard ka payment kar diya phir wo bhi jane laga mai bhi phir mere dimag me idea aaya isse bat karu phir maine kaha bhai kitne laptop chahiye aapko, usne kaha yahi koi 10-15 ke karib maine kaha mai dila dunga phir maine kaha chaliye mere sath maine unlogo ka gadi V mart mall ( begusarai ka famous mall ) me karwa diya waha se paidal hi jane laga |

Phir maine usse puchha aap kaha se aaye ho wo khagriya alauli me koi gau ka name bataye the, phir maine puchha itne laptop lekar kya karna institute etc kholna hai kya usne kaha ha wahi kholan hai maine kaha ek master le lijiye baki N computing se chalaiye, usne kaha nahi wo nahi karna hai har ek student ko master computer par hi bithana hai ,

Phir maine usse waha lekar gaya jaha se mai pahle yahi laptop sell etc karwata tha aur commission leta tha dukandar se yani customer ko waha tak lana hai deal wahi karega chahe wo kitna me bhi sell kare isse mera matlab nahi rahta customer laya aur deal hua per laptop mera 700rs banna hi tha,

actully oct 2017 se pahle ye karta tha pichhle 6 month se isse chhod chuka hu kyuki logo se tag me rahna bate karne me time dena dhup etc me nikalna to mahine ke 10 laptop tak bech dete the but ab khud ka itna kam ho gaya ki utne time me khud jayada apne kam se km time me kama leta hu isliye isse chhod chukka hu ,

maine usse bat karwa diya usne 13 laptop liya 10.5k per laptop ke hisab se Hp ka tha usne payment transfer kar diya uske account me laptop le liya, phir usne jaise hi dukan se nikla maine usse road tak chhod diya aur khud ka number de diya bola aur bhi jarurat hoga to aap bata dena ghar bheja dunga,

phir under gaya dukandar se commission le liya, iss bar maine usse per laptop 800 karke liya tha kyuki ek time me uska kai laptop sell karwaya aur bahut din bad aaya tha kyuki usse bhi pata hai ye pahle mere liye kam karta tha aaj barabar me kam karta hai pahle pure din isse koi paisa deta tha to pure din me itna work karta utna rupe me hi ab mai sidhe ye kahta hu iss kam ka itna lunga chahe 5 min me karu ya 5hr me

To dosto yahi tha wo bate ab aage mai batata hu yaha kyu share kiya mai facebook par bhi share kar sakta tha but chaliye jante hai

Iska batane ka karan ye tha ki aap kahi bhi koi bhi kam se jao apne dimag chalate raho kab kya luck lag jaye pata nahi, jaise mai manta hu 10k kuchh bhi nahi but thoda sa hosiyar bina sarir ganda kiye de gaya ,

  • Iska yaha batane ka karan ye tha facebook par sirf wahi friend hai jo blogger hai but yaha waise log bhi aate hai jo blogger nahi hai sirf tech ki jankari ke liye aate hai,
  • facebook par batata to bus ye kuchh hi din rahti phir kab kaha gai pata nahi chalta but yaha aksar logo ko dikhte rahega,

To dosto yahi seen tha baki kuchh nahi batane ka mood nahi tha phir v bata diya, bus batane ka uddesya ye tha aap har hamesa dimag chalate rahe kab kya fayda mil jate pata nahi dhanybad |

42 कॉमेंट्स

  1. waah good information sir, sachmuch me #jumedeen bhai ne aapko kha tha ki aap ab blogging me to success ho chuke hi ho.
    saath hi aap business man me bhi bahut expert ho sir aap business man se bhi jyada powerful insaan ho.
    aapki website ab blogging aur tech category hi nahi raha ab aapka website business ke liye bahut achha saabit ho raha hai.
    aapne isse pahle bhi kai business idea share kiye jisse padhkar hame bahut khushi mahsus hua. .
    aapki is post ko padhkar itna khush hu ki iska koi jawab hi nahi hai.
    good information….
    thanks sir …

जवाब दे

अपना कोमेंट लिखे
अपना नाम लिखे

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.