Top Ranking के लिए Fully SEO Optimize Blog Post कैसे लिखे ?

21

Hello Friends Agar aap ek Blogger hai or aane waale time me ek high traffic blog banana chahte hai. or ek famous blogger banna chahte hai to aapko apni blog posts ko search engine ranking ke terms ke hisaab se SEO optimize karna chahiye,

Friends ek blogger ko apne har post ko search engine ke liye specific keywords ke saath SEO optimize karna chahiye. Friends Blog post ko SEO optimize karne ke accroding bahut si cheeje aati hai. jinke baare me ham is post me discussed karenge so friends aaiye ham Perfect SEO Optimized Blog Post Kaise Likhe, is baare me jaante hai.

seo

Google Par Top Me Aane Ke Liye SEO Optimize Blog Post Kaise Likhe ?

1. Post Title and Meta title :  Friends Ek SEO Optimize Blog Post likhne ke liye Sabse pehle aapko Post title or meta title me difference janana ki aawashykta hai,

  • Post Title : Aapke readers kis tarah aapki post dekhenge.
  • Post meta title : search engine kya dekhega or search result me dikhayega.

Yadi aap apni posts ya SEO settings me meta title ka use nhi karenge, tab aapka post title hi aapka meta title hoga. Iske saath hi aapki blog post ke meta title me keywords ka hone bhi bahut jaroori hai.

Tips : Post title ko 66 characters se kam rakhe.

2. Post meta description :  Sabhi SEO plugin meta description allow karte hai, jo ki search engine ranking me ek bada role nibhata hai. isliye aapko ise acchi tarah optimize karna chahiye. Or apne meta description me post se related keywords ka bhi use karna chahiye.

Actually isme aapko 156 characters me users ko apni blog posts ke baare me description show karna hota hai. jo users ke liye enough ho or wo search engine me aapke result par click kare. So friends yadi aap pehle meta description use nhi karte the, to abhi se start kar dijiye,

Friends aapke dwara likhi gayi every post ranking or traffic ke liye important hoti hai or Google har blog post ko ek different web page ki tarah dekhta hai, or search result me certain keyword ke liye rank karta hai,

Blog Post SEO Optimize Karke Search Engine Se Traffic Kaise Paaye ?

3. Image Alt Attribute : Friends Google images ko read nhi karta, Balki wah alt tag ke dwara us image ko search result me show karta hai actually wah alt tag ke dwara image kis baare me yah samajhta hai. so isliye dhyan rakhe apni images ko proper name de. Bahut se bloggers yahi par galti karte hai we images ko image002.jpg etc name ke saath upload karte hai. jo ki wrong hai.

Jab aap image ko name de tab apni image ke according name de. For example yadi aap ek Adsense dashboard ka screenshot lete hai, or aap is image ko “Adsense” name dete hai tab yah targeted image nhi kehlaayegi. Aapko aawasykta hai ki aap apni is image ko “Adsense-dashboard” name de.

Aap iske liey SEO friendly Image plugin ka use kar sakte hai, Maine apni images me keywords ka use karke positive results dekha. So friends isliye aapko apni images me alt text ya alt tag ka use karna chahiye.

4. Interlink and anchor text : Jab aap new post write karte hai, tab apni post me old posts ko jaroor include kare. Taaki aapke readers aapki old posts ko bhi read kare. Friends kal hamne ek post write ki thi jo ki aapke liye jaroor helpful hogi,

Friends old post ko new blog post me interlinking karne se aapke visitors aapki other posts to read karte hi hai saath hi is tarike se search engines like google or bing aapki old posts ko bhi re-crawl karta hai,

Jab aap interlinking karte hai tab aapko interlinking ke saath anchor text technique ka use karna chahiye. Jab aap is tarike se blog post ko link karte hai tab aapko add link or title ka option dikhayi deta hai. so friends apni post ko link karte time post title or main keyword ko jaroor use kare,

5. Permalink and remove stop words : Jab ham ek post likhte hai, tab ham post title or bahut se stop words ka use karte hai, aap stop words ki comprehensive list ke liye yaha click kar sakte hai. or stop words kya hai – : example ke liye yaha click kare.

So jab ham ek post title ke saath likhte hai jaise ki : famous blogger kaise bane important tips for bloggers tab hamari post ka default permalink is tarah hoga : domain.com/famous-blogger-kaise-bane-important-tips-for-blogger

Yaha “for” ek stop word hai isliye aapko apni permalink ko change karke ise without stop words ke write karna chahiye. Aapko is tarah se permalink likhna chahiye. Famous-blogger-kaise-bane.

Note : ek baar post published hone ke baad apni posts ka permalink kabhi bhi change na kare.

6. H1, H2, H3 Headings: Friends me schema post styling feature ka use karta hu, Friends aapko SEO ke most important part H1, H2, H3 headings ko proper tarike se use karna nhi bhoolna chahiye, 

By default, SEO optimize themes post title me H1 tags ka use karti hai, tab aapko yaha next subheading ko H2 heading or other sub heading ko H3 heading se define karna chahiye.

Really effective SEO ke liye proper heading tags ka use karna bahut jaroori hai. specially tab jab aap ek long post write kar rahe ho tab in Head tags ka use proper tarike se kare.

SEO community ke according, H1, H2 or H3 headings me keywords ka use karna ek good idea hai.

Quick checklist :

  • Readers or Search engine ke liye Post title (H1, H2, H3 heading or post title me keywords ka use karna.)
  • Post permalinks (url me stop words ka use na karna)
  • Post me interlinking karna matlab old posts ki link anchor text ke saath add karna.
  • Image alt tag (isme keywords ka use kare)
  • Post meta description (Ise better CTR ke liye optimize kare, or isme keywords ka use ek baar kare)
  • Post meta keywords (ise blank rakhe)

Friends is post me hamne aapko  Google me Top par aane ke liye SEO optimized blog post likhne ke baare me bataya I hope yah post aapke liye Helpful hogi.

21 कॉमेंट्स

  1. Ravi ji aap ne SEO ke achi Jankari de hai bro mere kus old post hai jis mai permlink mai kus galtiya ke thi agar nai un ko change karta hu to SEARCH ENGINE mai aane mai problem hogi?

जवाब दे

अपना कोमेंट लिखे
अपना नाम लिखे

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.