Agar aapke pass koi website ya blog hai to aap ad network to use jarur karte honge aur jaha bhi ads network ki bat aati hai to sabse pahle hamare dimag me Google adsense hi aati hai Aur Google adsense Me kuchh Basic Term hote hai jaise Jaise RPM,CTR,CPM,CPA Aur CPC Agar hum isse achhe se jane aur samjhe to hum apne website se badhiya income kar sakte hai,
Agar hame in term ke sath efficiency and cost pata ho to aur bhi jayada badhiya hai , iss article me hum isi term ka overview de rahe hai agar aap Google adsense income increase karna chahte hai Aapko in term ko flowe karna jaruri hai to aide jante hai
RPM,CTR,CPM,CPA और CPC क्या है ? , इन सभी में क्या Deference या अंतर है ?
Sabse pahle hum aapko RPM ke bare me batayenge uske bad hum bari-bari se sabhi ke bare me batayenge aap post ka title dekhe usi hisab se hum yaha point banakar sabhi ki puri jankari point wise karenge
- RPM
- CTR
- CPM
- CPA
- CPC
- कैसे जाने Adsense ने Website को Ban किया है ?
- How To Earn Money Without Adsense in Hindi
- मैं Google Adsense से क्यों नफरत करता हूँ, 7 कारण
1 . Google Adsense RPM Kya Hai? Iski Puri jankari
Google Adsense RPM , CTR or CPC par depend karti hai, agar Aapko RPM increase karna hai to Aapko CPC aur CTR increase karna hoga aur CPC ko increase karne ke liye Micro-niche site banana Hoga aur Google Adsense ki policy ko Followe karna hoga aur ads sahi jagah par lagani hogi so in dono ke bare me hum Aapko aage details Se batayeng
Google Adsense RPM ka matlab hai aapne apne website se 1000 pageview par kitne paise kamaye , agar aapke Blog par 2000 pageview par $20 earnig kiye hai to aapke Impressions 5000 hogi aur RPM 4$ hogi
Google Adsense RPM Calculate karne ka Formula :: – RPM = (Estimated earnings / Ad impressions) * 1000
Google Adsense RPM Increase Kaise kare ?
- Aap apne sabhi ads ko alag-alag jagah use kare , ek jagah use na kare
- Ads ko ek limit tak hi customize kare itna nahi ki wo aapke blog design se match kar jaye
- Koshis kare apne blog par search engine se organic traffic Receve kare
- Jo ads aapke site se releted nahi hai usse Block kar de
- Low CPC wali ads ko Block kar de
2 . Google Adsense CTR (Click through Rate) Kya Hai? Iski Puri jankari
Aapne upar RPM ke bare me jana ab hum Aapko CTR ke bare me batayemge , CTR CPM aur CPC Dono par Depend hai Aage CPM aur CPC ke bare me padh le
- Yah CPC aur CPM par Depend hai
- CTR Kisi Bhi Advertisement Ki effectiveness ko measure karti hai , iska matlab CTR ye dekhti hai aapke website par kitne Impression the ya yah batata hai ki kitne logo ne Aapke banner ads ko dekha aur uss ads par Click kiya
CTR Calculate Karne Ka Formula: : CTR = (Number of Clicks / Number of impressions) x 100
- Example – (5 / 500) x 100 = 1% Yani Agar aapke ads banner ko 500 logo ne Dekha aur 500 me sirf 5 log Hi Ads Par Click kiya hai Aapki CTR 1% hogi
CTR Increase Kaise Kare ?
- Aap Achhe Domain Name le isme Domain name par bhi effect padta hai
- Ads size aur Image Placement sahi rakhe
- Maine Janta Hu Google Adsense Ne unlimited ads lagane ki permmison di hai but mai suggest karunga jayada ads ka use nahi kare
- Low CPC wale site ko block kare
- Post title keyword par jayada Focus kare
3 . Google Adsense CPM (Cost per Thousand ) Kya Hai? Iski Puri jankari
Google Adsense Ki Primary Tool yani Cost Per Thousand Of impressions yah 1000 Impressions Ke hisab se paise Deta hai
4 .Google Adsense CPA (Cost per Action) Full Information In Hindi
Yah CPM aur CPC se bilkul alag hai, yah Ads Ke bare me Good Information Deti hai , Iska payment kisi ke sath Conversion ke dauran Diya jata hai Jaise koi Visitor aapke ads par Click Karke kuchh buy karta hai ya Us ads ke dawara Kuchh karta hai |
- Google Adsense Approval लेने के 12 Killer Tips & Tricks
- कैसे जाने इस Website का Google Adsense Ban है ?
5 . CPC Kya hai , What is CPC Full Information Hindi me
CPC ka Pura name Cost Per Click Hota hai , yah ek Common Tool hai aur yah Google Adsense Ke tool me advertiser ke Bich kafi famous hai isliye iske bare me jayada na batate hue mai Aapko Thoda Kuchh bata deta hu ,
- Yah per click par payment karta hai
- Isme Impressions Se Koi lena Dena nahi hai
- CPC keyword Par Depend karti hai Jitna Top Keyword ka use karenge cpc aapki utni hi high rahegi
CPC Calculate Karne ka Best Tarika :: – CPC = Total Earning / Total Click
To Dosto yaha maine Google Adsense ke Top Tool ke bare me bataya I Hope aap achhe se iske bare me jan gaye kyuki sabhi Tool ki jankari ek jagah bata Diya taki Aap har ek tool ke alag alag Page me open na karna pade !
Bhai
CTR,CPC or RPM kitna rkhna chahiye jise mere app bcha rahe
Ctr 20% Se Jayada Nahi Hona Chahiye
ye meri application he…
please dosto ise share kare upne group me our review and rating dijiye…
niche meri application ki link he please share both of you……
Aapka Promotion Link Maine Remove Kar Diya Sorry
Bro, I have 96,849 impressions and 356 clicks but 4.43$ earnings on Google adsense. Whats the problem?
Aap Apna CTR Increase Kare… 356 click Me Mera 30$ + Hi Hota Hai