india Post Payment Bank information in Hindi

29

india Post Payment Bank information in Hindi – Aapko isse pahle bataya gaya tha Airtel Payment bank aur Paytm Payment bank ke bare me usi tarah ab india post ne bhi apna payment bank lai hai,01 Sept 2018 Ko PM Narendra Modi Ne Launch Kiye Hai, Yani ab inka kam sirf ghar-ghar Chiththi Pahuchana nahi ab iske sath aage bahut kuchh karne wali hai,

aage mai ispar ek post likhunga jisme mai bahut kuchh bataunga IndiaPost Me kya scope hai kya India Post me job karna better hai pahle log ye samjhte the dakghar me kon naukari karega iska sallery bhi bahut kam hai aur internet ke jamane me ab iska Future Girta ja aha hai to,

mai aapko bata du aisa hai but ye other searvice provider nahi hai situation ke sath ye apna style change karti hai bus abhi aap sirf itna jan lo india post me bahut scope hai,

india post payment bank

What is India Post Payment bank in Hindi

April se suru hone wala ye bank starting time me hi 650 district me iski branch khol di jayegi aur dhire-dhire karke iski seva pure desh me badhai jayegi aur ye sabhi sakhaye rural area se jude honge ,

iska sabse jayada benefit ye hoga ihe paytm aur airtel wale itna invaste nahi karna padega kyuki inka all over india har ek district me 100 se bhi jayada branch pahle se hai to inhe na place decide karna padega aur na hi aur invaste sirf staf ki sankhya ko badhana hoga

  • Aapke jankari ke liye mai bata du iski branch Raipur aur ranchi me chalu bhi ho chuki hai
  • isme khas bat yah hai ki koi bhi aadmi account khulwa sakta hai
  • isse pahle airtel ne apna payment bank kholkar abhi dhak jamaye hai,aapko jankar hairani hogi ki 2.50 lakh customer uske network se jud kar seva de rahe hai
  • isse pahle maine payment bank ke bare me bata chukka hu yah bank aur bank se thoda alag hota hai
  • isme aap bideh se bheje jane wale paise ko swikar yani accept kar sakte hai
  • Yah internet banking ke sath other seva bhi pardan karti hai

India Post payment bank me Intrest Rate kitna milta hai  

  1. 25,000 rupe tak jama par 4.5%
  2. 25-50,000 rupe tak jama par 5%
  3. 50-1lakh par 5.5%
  4. Note— Note ye aage change bhi ho sakta hai, aur bank se releted article section me jakar aap aur bhi jankari bank ke bare me jane

Aasani Se milega sabhi yojna ka labh :: India post ke madhyam se Kendra sarkar chahti hai,gau-gau iska bistar ho taki har ek sarkari yojna ka labh log aasani se le sake,manrega se lekar student scloroship tak ki sabhi rashi aasani se gau ke logo tak pahuche,

Q . Total Kitne Rupe Tak Jama Kar Sakte Hai ?

Ans . jaisa ki aapne other payment bank me dekha jayada se jayada 1 lakh rupe tak jama kar sakte hai usi tarah india Post Payment Bank me bhi aap 1 lakh rupe tak jama kar sakte hai |

Q . Kya Debit Card Net Banking,Digital Payment Etc Ki Subidha Milegi ?

ans . Yes aapko ye sari digital subidha iss payment bank me milegi |

Q . India Post Payment Bank Me Kitne Type Ke account Khol Sakte Hai ?

ans . ye philhal abhi aaapko saving account ki hi subidha de rahi hai aage chalkar current account aur credit card jaisi bhi subidha de sakti hai, isme ek bat aur hai ye 3 type ke saving account kholne ka option deti hai aaiye niche point wise karke jante hai

  1. Safal Account
  2. Sugam Account
  3. Saral Account

Iss tino account me kya difference hai aur yah kya hai aur isme customers ko kya kya milta hai iske bare me maine pahle hi details me ek post likhi hai aap jarur padhe Safal Account,Sugam Account Aur Saral Account Me Kya difference Hai ?

Q . India Post Payment Bank Ki Digital Payment Services Kya Hai ?

  1. IMPS Encrypted messaging formats : agar aap iss process se kisi ko payment karte hai to aap 1 din me 50,000 rupe tak hi bhej sakte hai |
  2. Unencrypted messaging formats : iss formate se aap din me only 1000 rs tak hi bhej sakte hai
  3. Agar aap AEPS se bhejte hai to aap ek bar me 10,000 se jayada nahi bhej sakte hai
  4. UPI ke madad se bhejte hai to aap ek bar me 1 lakh tak bhej sakte hai
  5. NUUP se aap 5,000 se jayada nahi bhej sakte hai |

29 कॉमेंट्स

जवाब दे

अपना कोमेंट लिखे
अपना नाम लिखे

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.