Aadhaar number bank se link karne ke aasan 4 tarika aur wo bhi ghar baithe bina kahi kuchh kiye apne smartphone se Ji Aajkal Na Logo Ke Mobile Par Bahut Sare Message Aane lage hai, Jisme Bataya Jata hai, Apne Bank Account Se Aadhaar Card Ko Link kare,
Aisi Message Hame Kai Bar aai Lekin Mere Pass Time Nahi Mila 2 Month Ho Gaye Lekin Samay Ka abhau ke karan Bank Nahi ja paya Aur Maine Apna Aadhaar Card Link nahi Karwaya,Lekin Mere Phone Par aaj phir message aa gaya To Ab laga Iska Kuchh Karna Padega,
बिना बैंक गए Aadhaar को Bank Account से Link कैसे करे ?
Maine Reserch Start Kar Di Jisme Mai Ye Tarika Khojne Laga Ghar Baithe Aadhaar Card Ko Bank Account Se Link Kaise Karwaye ? Research karna Start Kar Diya Bahut Kuchh Karne Ke Bad Sahi Jankari nahi mili Phir Maine State Bank Of India Ke Guideline ko dekha Usme Kai Method The Jisme Aap Kahi se bhi Apne Aadhaar ko bank se link karwa sakte hai To Yahi Abhi mai aapko Kai method Batane Ja raha hu , Jise aap bina bank gaye apne Aadhaar crad ko bank se link kar sakte hai,
Q. Bank Aadhaar Card Link Karwane Ke Liye message kyu karti hai?
Iska Bahut Bada Karan hai Agar mai Details batau To Sayad 1 Post me Bhi puri nahi Hogi, Aise Bhi Dekha Jaye To Sabhi Kamo me Ab Aadhaar Card Jaruri Ho gaya Hai, Bina Aadhaar Card Koi Kam Hoti nahi, Aise me Government Ne Lagbhag bahut sare Aadmiyo ka Adhar Card Gau Aur sahar me camp lagakar banwa Chuki hai,
Ab Problem Ye hai Ye Sabhi Abhi kyu kar rahi hai Government Ne Hal Hi me AEPS ( Aadhaar Enabled Payment System ) Lounch kiya tha Iske Lounch Karne Ka maksad Usse bank Account Se Jodkar Fingerprint Adharit Card Verification Se Bina Debit Card ke Bhi payment Kar Sakte Hai, Ji Iske bare me Hum Next Post Likhenge Aaiye Ab jante hai, Sbi Customer Apne Aadhaar Card Ko Bank Se Link Kaise karenge SBI बैंक अकाउंट को आधार से लिंक करने का तरीक़ा
Sabse pahle Hum Pahla method batayenge Jo Bilkul Hi Aasan hai Jisme aapko kahi Jana nahi padega na hi internet Ki jaruri na Hi Smart phone Ki jaruri Bus Aap Simple phone Se Hi Ye kam bahut hi Asani se kar sakte hai. EK message Bhejkar
Requirement
- Ye Number Jis Aadmi ke name se bank Account khula hai Uske name se Hi hona Chahiye Aise To Jaruri nahi hai Lekin Future Aur International work me jaruri pad sakti hai,
- Sabse Badi bat Aap Jis bank Me Apne Aadhaar Ko Link karwana chate hai Us Account Me Aapka Mobile Number Registered hona Chahiye. Tabhi Aapka Adhar Link Ho sakega Agar nahi Hai To aap branch Me jakar registered karwa Le ya, Aap Dusra method Try kare.
1 . SMS Ke Jariye Aadhaar Number bank Account Se Link Kaise Kare ( SMS के माध्यम से बैंक अकाउंट में आधार नंबर लिंक करे )
Ab Aap Registered Mobile Number Se Write message Box Open kare, Message Me Aisa Type kare,
- UID <Space>Aadhaar Number<Space>Account Number
- Uske Bad Isse Aap 567676 Number Par Bhej De, Nahi Samjhe Ab Yaha Mai Apna Bank Account Number Aur Aadhar Number Ke Example Se Bata Raha hu,
- UID 769470682554 33780823776
- Isse Ab aap 567676 par send kar de
Jaise Hi Aap 567676 Number Par Isse Send karenge Aapke pass Kuchh Hi second Me Message Aa Jayegi, Agar Aapka Phone number link nahi hai To Uska Bhi Message Aapke pass Aa jayega, Ab Hum aapko 2nd method ki Aur lekar chalte hai,
- आधार से मोबाइल नंबर को लिंक कैसे करे,3 मेथड
- How to Lock & Unlock Aadhar Card In Hindi
- Aadhaar Card चोरी या खोने पर क्या करे ?
2 . Atm Se Bank Account Me Aadhar Link Kaise Kare ( एटीएम से बैंक अकाउंट में आधार नंबर लिंक करे )
Ji Aap ATM Card Se Kisi Bhi Najdiki Atm mashin Se Ye kam kar sakte hai Bahut Hi easy hai Mai aapko Bata raha hu,
- Note:- Ye Kam Sirf aap Sbi Atm Me hi kar sakte hai Baki Ke atm me Ye option nahi Milegi,
- Apne Najdiki SBI ATM me jaye aur Apna Card Dale, Uske bad Aap Apna 4 Digit ka pin Dale
- Aapke samne Kai Menu aa jayegi, Aise Aap Isse pahle bhi Dekh Chuke Lekin us Time Aap Paise Nikal rahe the, Us menu me Aap Dekhe Service – Registrations Uspar Touch kare,
- Ab Aap Aadhaar Registration Par Par Click kare
- Ab Account Type(Savings/Checking) Ko Choose kare
- Yaha apna Aadhaar Number Dale,
- Phir Se Aadhaar Number Dale,
- Ab Aapka Aadhaar Number Aapke bank Account Se link Ho Jayega, Jiska message Aapke Registered Mobile par Bhej Diya jayega,
Bus Ho gaya ab Aapko Itni Chhoti Se Kamo ke liye bank Ka Chakkar Nahi lagana padega,Ab Hum Aage Janenge Internet Banking Method Aise bahut se Log hai Jo Abhi Bhi Internet Use nahi karte hai, Wo Upar Ke Dono Method Try kare, Jo Internet Banking Use karte hai, Wo Is Method Ko try kare,
3 . Internet Banking Se Apne Aadhaar Number Ko Bank Se Link Kaise Kare( इन्टरनेट बैंकिंग के माध्यम से आधार नंबर बैंक अकाउंट से लिंक कैसे करे)
Sabse pahle Aap Apne Computer Ya Mobile Me yad Rahe Agar Aap Mobile User hai To Usme Charome Broswer Hi Use Kare Aise Aap Pc Se kare Ek Bat Ka Aur Bhi Dhayn Rakhe Agar Aap Internet Baking Use karte hai To Fast Internet me Hi Use kiya kare Jisse Future Kabhi Paresani Nahi ho,
- 1.Sabse Pahle Aap Stat Bank Ke Website Ko Login kare,
- 2.Ab Aap Jaise Net Banking Id pass se open karte hai, Waise Open kare,
- 3.Ab Aap Left Side Me Dekhe Waha aapko ” My Account ” Dikhai Waha Click kare,
- 4.Ab Aap Iske Antargat “Link your Aadhaar number” Par Click kare
- 5.Ab Aap “Bank Account” Chune That Mins Account Number
- 6.Ab Yaha Aap Apna Aadhaar Number Dal kar Submit Button Par Click kar De,
Bus ho gai, Aapne Ab Apna Aadhaar Number Internet Banking Ke madhyam Se Apne Bank Account se link kar Diya, Jaise Hi Aapka Link Ho Jayega Iska Details Aapke Registered Mobile par aa jayegi, Agar Aap ye Sub nahi kar pate hai, To last Me Wahi Process hai, Jo Sabse aasan hai, Bank Me Jakar,
- How To Link Voter ID Card With Aadhaar Card in Hindi
- Aadhaar Virtual Id क्या है और Generate कैसे करे ?
- How To Link NPS Account With Aadhaar Card Number In Hindi
Bank Account Se Aadhaar Card Link Kaise Karwaye ( बैंक अकाउंट से आधार नंबर लिंक करवाए )
- Sabse Pahle Aap Apne Aadhaar Card Ke Photo Copy Lekar Apne bank account Padhare,
- Jaise Hi Aap Bank pahuchenge Aap Aadhaar Link Form Lekar Us Form ko Filp Kare,
Aap Pure Parkiriya karke usse Jama kar de Jaise Hi Aap Jama karenge Aapke Account Ki Puri Verification karne ke bad Aapka Aadhaar number Bank Account se link kar Diya Jayega, Jiski Jankari Aapke Registered Mobile Number Par Mil jayegi,
567676 kam nahi kar rha hai
Maine Kal Bhi Kiya Hai Work Kar Rahi Hai To
Maine Kal Bhi Kiya Hai Work Kar Rahi Hai To..
gooood information
Thank You Keep Visit
agr me phone se sms karta hu or phone namber bank me register nhi h to kya aadhar link ho jayega kya plz help
nahi hoga link
Mera mobail no link hai par sms dwara link kar rahe hai to sms ho chuka lekin reply message kuchh nahi a raha hai plise help me
bank se contact kare