Online Document Storage – Locker kya hota hai ye to aap sab jante hi honge, fir bhi mai aap sab ko bata du ki Locker ek aisi aalmari hai, jaise ki aap apne ghar me paiso ko aise he bed pe ya jamin pe fenk ke to rakhte nhi hoge na,aap sab usse acche se lock kar ke rakhte honge or sirf paise hi nhi har wo saaman jo jaruri hai aap usse acche se sambhal ke rakhte honge,
Isi Tarah Aap Paise Ko Tijori Me Aur Bhi Kuchh jaruri Saman Ko Box Me Rakhte ho, Usi Tarah Apne College Document Ya Koi aur bhi Document Ya Ghar Me Koi Bhi Jaruri Kagjat,Lekin Mai kya aapko Pata Hai Ise Ham Ghar Me Rakhte To Hai But Ye Utna Safe Nahi Hai,
Agar Ghar Me Aag Lag Jaye, Bhagwan Na kare Aisa Ho But Ek Example Se Bata Raha hu, to aapka document koi kam ka nahi rahega isliye aaiye jante hai Online Document Storage kaise kare ?
Sabse Badi bat Jub ham Kabhi Ghar se Dur Jate hai Aur Kabhi Hame Koi Kagaj Ki Jaruri Pad Jati hai,To Hum Kya karte hai Phir Ghar Jate hai,Kyuki Ham Sabhi Kagaj Ko Apne Sath Lekar nahi Chalte Khone Ka Bhi Dar Rahta hai,
Lekin Aaj Mai Aapko Jo Tarika Bataunga, Jisse Aap Online Document Storage Rakh Sakte Hai Aur Isse Jub Bhi Hame Kahi Jarurt Pade To Iska Istemal Kar Sakte Hai, Jaha Jarurat Pade Wahi Istemal Karenge, To Ye Rahi Aapke Samne Wo Sabhi Tricks Jisse Hum Bahut Kuchh kar Sakte hai,
Online Document Storage Karne Ka Tricks
To aaj ke Iss article me Batane Ja Rahe hai, Online Document Storage/Save Kaha kare,Online Bahut Sari Website Hai Hum Kis Website Par Bharosa kare,Kya Hum Online Document Storage Kahi BHi rakh sakte hai kya Online Document Storage karna safe hoga ,Jaha Hum Apne Jaruri Document Ko 100% Safe Ya Save Rakh Sakte Hai, Kaise Kare Online Document Ki Security,
Sabhi Sawal Ka Jawab Aur Sabhi Confusion Aapko Yahi Milega,hum isi ke bare me aapko bataynge,aap apne jarurat k sabhi documents, photos,details,or jo bhi important data hoga aap usse sambhal ke rakhe,To aaiye jante hai 2 Online or safe locker ke baare me
(Waise to internet pe aapko bohot lockers milenge lekin jinke baare me apko batana jaa raha hu uspe aapko khud hi bharosa ho jayega or aap khud hi decide kar lena ki wo safe hai ya nhi)
1. Google Drive : Aap jabse internet use kar rahe hai tabe aap sab google bhi use karte he honge,or sirf google search Engine hi nhi balki uske baaki softwares bhi hum sabko pasand hai jaise Gmail,Google Chrome or ofcouse hum android jaise amazing operating system ko kaise ignore kar sakte hai,to basically hum sab google use karte hai
lekin kya aap jante ho ki google ne apna khud ka ek online locker launch kiya hai.Ji ha uska name Hai,Google Drive hai or isko use karna bohot hi easy hai,aap Iske website pe ja kar login kar sakte ho ya fir aap simply iska app playtore se download kar sakte ho, yani google drive bhi Online Document Storage karne ka best jagah hai |
2 . Digi/Digital Locker Kya Hai? Aur Ispar Account Kaise Banaye ?
Aap sab ne news me papers me iske bare me sunga Hi hoga,yeh Indian Government ke Digital India ka ek part hai,Aapko Iska koi app nahi milega,iska official site Hai Uspar Hi aapko login karna hoga,
iske official site pe jaane k bad aapko ispe account create karna Hoga Aur Apna aadhar card link karna hoga apne account se,fir aap apne sare documents isme rakh ,sakoge.. To Aiye Hum Iske Bare Me Puti Details Se jante hai,
Q. Digital Locker Kya Hai, What Is Digital Locker Information In Hindi ?
Yah Ek Website hai,Jaha Aap Apne Aadhar Card Ko Link Karke,Aap Yaha Document Ko Save Karke Rakh Sakte Ho, Digital Locker Ka Short Name Digi Locker Bhi hai, Yaha Aap Apne Certificate,Photo Other Document Ko Save Karke Rakh Sakte Hai, Taki Aap Kahi Jaye To Document Ko Lekar Jane Ki jarurat nahi pade,
Q. Digital/Digi Locker Kitna Safe Hai ?
- 1 Ye Government Ki Digital India Supported hai,To Aapko Pata hi hai,Ye Kitna Safe Hai,
- Aapka Bank Account Jitna Safe Hai,Same Ye Bhi Utna Hi Safe Hai,
- Isme Hame User Id Aur Password Banana Padta hai,Jisse Hum Bina Login Kiye Kuchh nahi kar skate hai,To Isse Bhi Saf Jhalkti hai, Ye Kitna Safe hai,
- Online Document Storage कहाँ करें ?
- पेटीएम से Contact करने का 7 तरीका – How To Contact Paytm in Hindi
Mobile Aur Computer Se Digital /Digi Locker Me Apna Document Upload Kaise Kare,
Ji Ye bahut Hi Aasan Aur Simple hai,Aap Apne Computer Ke Alawa Ye kam aap apna Mobile phone Se bhi kar sakte hai,Bus Aapke Phone Me internet Subidha Maujaud Hona Chahiye ,Aaiye Ab Aap Iski Step ko Folowe kare,
Step :: 1 Sabse Pahle Aap Apne Broswer Open kare,Jo Broswer Aap Internet Istemal Karne ke liye karte hai,
- Note- Yaha Jo Tips Bata Raha hu,Computer Aur Mobile Ke Liye Same Process Hai, Jagah Change Ho Sakti Hai,But Option Nahi,
Step :: 2 Ab Aap Apne Broswer Me Type kare, digilocker.gov.in
Step :: 3 Ab Aap Yaha Dekh Rahe hai,Aapke Samne Ek Naya Page Open ho gaya Hai, Yaha Jo Dalenge Usse Aap Kahi Notebook Me Note kar le,
- Ab Aap Apna Username Choose kare, Apne pasand Ka Choose kare,Jo Aapke Liye Safe ho,
- Ab Aap Apna Password Chune 3G
Note –
- Password Me Aap charecter,number Aur special charecter Ka Use kare,Example – Anytechinfo56*#
- Username Password Note karne Se Behtar Hoga,Aap Usse Yad hi kar Le,
Step :: 4
- Ab Aap Yaha Sign-up Kare,Jaise Hi Sign-up Karenge,Aapke Samne Ek Naya Page Khulega,
- Ab Aap Yaha Apna 12 Digit Ka Aadhar Number Dale,
- Ab Niche Tick kar De,Uske Bad Continue Par Click kar De,
- Ab Aapke Number Par Ek Password Aayega,
- Us password ko Yaha Dale,
- Ab Verify Par Click kar De,
Finnely Aapne Account Bana liya,Ab Aap Apne Account Me Dekhe,Jaha Upload Ka symbol Dikhai De,Aap Waha Click kare Aur Apne Computer Ya Mobile Gallery Ya Jaha Aapka Data Save rahta hai, Waha Click karke Aap Apna Data Yaha Upload Kar Sakte Hai,Aaiye Hum Iska Fayada Kya Hai Ye jante hai,
Digi Locker Aur Google Drive Me Online Document Storage karne Ka Fayada ?
- Iska sabse bada fayda ye hai ki aapko jab bhi jarurat hogi to aap tab usse dekh sakte ho apne phone pe,ya aapko uska print out Chahiye to aap wo bhi nikalwa sakte kisi bhi Xerox/Printing shop me.
- iska sabse bada fayda ye hai ki ab aapko apne kisi bhi jaruri papers/documents k liye yeh nhi kehna padega ki wo to ghar pe hai or mujhe abhi jarurat hai,kyuki ab saare documents aapke pocket me hoga.
- Aap lagbhag har din ye dekhte honge ki social media pe kisi na kisi insan ki documents bhul gayi hoti hai or jisko milta hai wo social media pe share kar k ustak pohuchta hai. To agar aap apna saara jaruri documents save kar k rakh denge to aap apne documents k gum ho jaane ki tenson se bach jaaynge |
very useful
thank you
Great Information . . .
thank you