Phone me jaise hi aap red signal ya phir battery ki ek line dekhte hai to fauran usse charge karne ke liye bhagte hai,Battery Low hone ke ye notifications dekhte hi aapka dimag kaharab ho jata hai aur jarurat padti hai phone ko charge karne ki bhale aap apne office me ho ya phir kisi ristedar ke yaha ya khud ke ghar par,
To mai aaj aapko bata raha hu smartphone phone me battery low ki samasya agar bar-bar aaye to hum usse kaise niptenge,Taki phir se dusre din hame aisi samasya se gujarna nahi pade,
Mai aapko bilkul 15+ tarika bata raha hu, phone ka charging low hone se ye bachayega,To hum jante hai puri numberwise ke sath kaise hum apne phone ki battery kabhi nahi hogi low,
How To increase Phone Battery Life in Hindi,फ़ोन का बैटरी बैकअप कैसे बढ़ाये ??
1. Smartphone Ka vibration kare band :: yadi aapka phone vibrat mode me hoga to wah general ringing mode se adhik battery kharch karega, yani aapka phone jub silent mode me rehta hai to general mode yani ringing on me uske apeksha aap silent mode me battery use jayada hota hai,
2. Notification ko band rakhe :: Aapke mobile me jitne bhi software ya phir application hai, uska notification ko band karke rakhe Ab aap total app ka notification band na kare, jo app ke notification se hame matlab hi nahi hai,,
3. Bluetooth ko off kar de :: kai bar hum karte kya hai ki Bluetooth ko on hi rakhe rehte hai, jubki uska us waqt kam bhi nahi hota isse bhi hamari battrey life end ke sath baterry barbad hoti hai Jub Bluetooth ki jarurat na ho to usse band kar diya kare,
Bluetooth kya hai isse kaise band kare :: ye to hum sabhi jante hai, Bluetoothkya hai,, aur iska yani Bluetooth ka use kya hai, to hamane batane ki jarurat nahi, agar aap nahi jante hai to hame aap comments me bata dena,, isse off kaise kare simple Aap pane mobile phone ka notification menu bar open kare aur waha dekhe Bluetooth likha hoga,, whaa touch kar de,, isse aapki mobile ke Bluetooth off ho jayegi,,
W4. WiFi ko desable kar de :: Jub aap WiFi ka use kar rahe ho to usi waqt usse aap on rakhe anytha off hi karke rakhe ?
- WiFi क्या है ? What is WiFi in Hindi
- WiFi Speed बढ़ाने का तरीका-How To increase Wifi Speed in Hindi
- Top 20 Wifi Safety Tips in Hindi
5. Simple wallpaper lagaye :: Aaj kal ek se ek badhiya 3D wallpaper aa chuka aise me aap agar 3D wallpaper ko use kar rahe hai to usse aap uninstall kar de aur ek simple sa wallpaper use kare,
6. Lower brightness :: Aap display light ko kam karke rakhe isse aapki battery ki bahut bachat hogi usse aap apni battrey life ko bhi save rakh sakte hai Aur aise isse kam rakhne se aapne ankh pe bhi kam effect padega |
7. power saving app :: power saving app download kare Isse istemal karne se phone ki baterry ko save rakhne ke liye koi achhi battery savving app download kar le isse aapki bateery save karne me aapko help kareg download karne ke liye niche DOWNLOAD now pe click kare
8. Dhup me na rakhe :: phone ko kabhi dhup me na rakhe, phone ko jayada heat me rakhna , bateery ki capacity ko kam kar deti hai,
9. GPS ko band rakhe :: GPS KA istemal ab lagbhag sabhi log karne lage hai isse jub jaruri pade tab isse on rakhe anyyatha isse band kar de isse bhi aapki bateery life achhi rahegi But agar aap ghar se bahar nikalte hai to GPS on hi rakhe taki aapke family wale ko pata rahe aap kya karte hai
Aur ye bhi ho sakta kahi aapka phone chori ho jaye ya gum ho ya phir kahi gir hi jaye iss situation GPS bahut kam aayegi kyuki GPS off rahega to usse hum track hi nahi kar payenge agar aapko nahi pata hai khoye hue phone ko kaise track kare to aap hamari ye sub post padhe
10. Off Auto-Sync :: agar aap apne phone ke data ka backup lene ke liye ya phir gmail ka notification pane ke liye auto SYNC ka istemal karte hai to isse band rakhe jub jarurat ho on karke karke kam kar le |
11. Background Data restrict :: aise bahut sare apps hote hai jisse hum band kar dete hai phir bhi wo apps background me chalet rahte hai jisse kafi battery khapat hoti hai aap isse Restrict kar de, iske liye aap mobile settings me jakar data uses option se kar sakte hai |
12. Full Charge Na Kare :: aap apne phone ko kabhi bhi full charge na kare 80% charge hone ke bad charge khol de, aapko mai ek facts batata hu jo sirf sunne me hi ajib lagta hai aap apne phone ko jitna charge karoge utna discharge hoga
13. Big/Heavy apps Ka Use na kare :: bahut sare heavy apps ki hame jarurat hoti hai but kya aap jante hai ek heavy apps kai normal apps ke barabar battery khapat karti hai , aise me jis apps ka kam ho gaya ab uski jarurat nahi to aap usse uninstall kar diya kare |
14. Charge Karte Time Phone Use Na Kare :: jub aap phone charge karte ho uss time phone istemal na kare,isse battery khapat to nahi hoti hai kyuki charge hote rahta hai to pata nahi chalta hai,but ha battery life kam jarur ho jati hai
15. Auto Apps Band Rakhe :: play store me jakar aap apne phone ke auto apps ko band karke rakhe isse bhi battery kafi khatm hoti hai |
Bahut hi kaam ki jankari share ki hai apne. So thanks for this article
welcome and keep visit
bahut achi jaankari di aapne sir sukriya
Thank You And Keep Visit
Sir aaj kal jo battery booster application ate hai jaise clean master,360 security ye bhut jada battery kamm karte hai bhadne ke bajiye
yes isi ke tarah aur bhi bahut sare apps hai thanks aapne hamare visitor ko comment ke madhyam se naye chio ko bataya hai