How To Sell Product on Ebay in Hindi

34

Hello Friends Kaise Ho aap I Hope Aap Badhiya Honge Isse pahle aapne Padha Ebay kya hai aur ispar account kaise baanye Kya aapne Pichhle article ko Read karke Ebay Ke bare me jan Chuke aur account Bhi bana chuke to chaliye aaj Hum kuchh naya sikhte hai,

Yani ispar Hum saman sell karke paisa kaise kamaye aage mai is point par hi nahi isse releted jitne Daubt Hai Sare Daubt Clear Kar deta hu Mai Ebay Problem and solution name ka Ek post Bhi kiya hai Jisme Ebay se Releted Sare Problem ka solution Diya gaya yani ab Tak me mujhse jitne sawal Puchha gaya sabhi Ko uss post me Number wise karke bataya hu,

I hope aap us post ko padhne ke bad bahut kuchh sikhenge To aaj mai aapko ebay पर सामान बेचने के बाद उसका पैसे हमें कैसे मिलेगा, Ebay पर सामान को कितने तरीके से बेचा जा सकता है , Ebay Par saman Bechne se pahle Kin bato par Dhayan De , Ebay par Product sell karne ka tarika Bata raha hu isse pahle Aapke man me kai sawal aayenge pahle unko hi clear kar deta hu

wp image 341658252

Ebay Par Apna Products Sell Karne Ke Bad Hame Paise Kaise Milta Hai? ebay पर सामान बेचने के बाद उसका पैसे हमें कैसे मिलेगा 

Agar Koi aadmi apni purani saman ya koi bhi saman ebay ke madhyam se bechna chatata hai to uss saman ki listing website me karni hoti hai Usme Product ka details , Payment Term etc yani uss saman ki khasiyat aapke koi term condition hai ya yani apne saman ke bare me full information dena padta hai,

jub aapka Product ebay site par list ho jayegi to waha website par show Hona Start Ho jayega uske jaise hi koi Buyer us Product Ko ebey par dhundh raha ho to usse aapka saman dikhta hai usse pasand aa gaya To wo buy kar leta hai uske bad aapko uske address par Currier ke dawara Uss saman ko bhejna hota hai,

Ab aap soch rahe isme Ebay ka kya fayada hua Jaise hi buyer Ka transaction successfully Hota hai Usme se kuchh commission Ebay Rakh leti hai uske bad wo seller ke account me bhej deti hai |

Ebay Par Hum Saman Kitne Tarah Se Bech Sakte hai? या Ebay पर सामान को कितने तरीके से बेचा जा सकता है 

  1. auction system (nilami karke ) – Aapne Dekha Hi goga jamin ka Nilami kaise hoti hai ek seller Hota hai aur wah apna ek dam rakhta hai aur buyer dher sara un sabhi me se sabse jayada paise jo deta hai saman usi ko milta hai iss system se aap wahi saman Bech sakte hai Jo sabse hatke ho
  2. Fix Price (Ek Dam ) – Isme Aapko ek Fix rate rakhna hota hai apne saman ka yani na kam hogi aur na hi jayada

Ebay पर सामान बेचने से पहले किन बातो पर ध्यान देना चाहिए ?

  1. Aapke pass Jitna saman hai wahi dale kyuki bad me Jub aap Bhejoge To aisa na Ho kam saman bheje aur aap par ebey charge kare |
  2. Jo saman aapke pass hai Wahi Photo dale aisa na Ho ki jang laga mobile ho aur aap internet se HD qulity ka Photo Download karke Upoad kar Do
  3. Aapke pass Bank account hona chahiye , Kyuki aap saman free me to doge nahi paisa loge aur iske liye bank account rahna jaruri hai
  4. Ebay Ko use karne ke liye Aapke pass internet Hona Chahiye aur sath me internet cahalne wale Computer ya mobile Hona Hi chahoiye
कोई भी Product Ebay पर Sell कैसे करे ?

Aaiye Ab hum aapko ebay par Koi Bhi saman Bechne ka Tarika Bata rahe hai Sabse pahle aap ebay par Account Bana le Uske bad phir se yaha aaye Ab mai Aapko yaha Koi Saman Bechne ka example lekar iss post ko pura karunga Man ljiye mai ek Purana Sikka Sell kar raha hu Iske jagah aap Kuchh bhi sell kar sakte hai

  1. Ebay Account me Login Ho gaye hai to aap sell Item par click kare
  2. Ab aapke samne ek Search Box Open ho jayega usme aap Apne Product ka title likhe Entre press kare
  3. Ab aap Cetegory Select karne ke liye kaha jayega yaha Par Click karke aap Cetegory Select Kar Lijiye

Ab Aapke Samne List Open Ho jayega Jisse aap Bhadna hai Usme Mai Detais Me Niche Bata raha hu Har ek Option Ka Detilas me yaha bata raha hu Aapko waha jo option samajh nahi aaye aap yaha se dekhe jisse Aapko pata chalega wo option kya kah raha hai

  1. Photo – Aapka Jo Bhi saman hai uska image isme Upload karna hai
  2. Condition – Isme Aapko Product naya hai ya purana ye batana hai new ya old par click kare
  3. Description- Ab isme aap apne Product ke bare me job hi likhna hai kya hai kaisa hai kita purana hai isme kya khasiyat hai aur kya kami hai etc sabhi isme Aapka likhna padega
  4. Ab aap Format Price par click kare
  5. Format Price : Format matlab Aap apne saman ko nilam karna chahte hai ya iska Koi Fix Price rakhe hai Wo price likhe
  6. Quqntity – Iska matlab aapke pass wo kitna saman hai wo likhe Aapke pass jitna saman ho wahi likhe jayada nahi
  7. Duration: Iska matlab aap kitne din ke liye ebey par product dikhana chahte ho jitna din ebay par aap apna saman dikhaoge utne jayada charge aapko dena hoga
  8. Shipping – yani aap kiss type ka delivery dena chhate hai delivery chare bhi lenge wo batana hoga  Agar aap simple method se delivery karana chahte hai to aap  flat rate courier delivery anywhere in india par click kare
  9. Ab offer free shipping par right nisan lagaye
  10. Aapne upar ke sabhi process pure kar liye hai to rivew par click kare

Ab Aapko karib half day wait kare aapka saman jaise hi list ho jayegi ebay par search karne ke bad show ho jayegi jaise hi koi customer aapke saman ko buy karega Aapko ebay company  mail aur mobile par sms karke suchit karegi Aise aap site par message me dekh sakte hai

I hope ab Aapko ebay se saman bechne me koi problem nahi hogi mai aasha karta hu aap sabhi chize samajh gaye kyuki mai itna details me post nahi likhna chahta tha But socha details me share karta hu phir bhi koi sawal hai to aap hame comment me puchhe |

34 कॉमेंट्स

जवाब दे

अपना कोमेंट लिखे
अपना नाम लिखे

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.