post date 28 Feb 2017 : Kya hua aap Upar Ke title padhke chauk gaye mere sath aisa hi hota hai , jis kam me hath lagau wo success ho hi jati hai lekin anytechinfo success nahi hui akhir kyu nahi success hai , maine upar bataya jo kam ko hath lagaya wo suceess ho jati hai to ab aap soch bhi rahe honge kya ravi ji aapne blogging me hath nahi to kya lagaya,
Bahut sare log agar koi kam ko karte hai agar wo kam nahi kar paye fail ho gaye to wo apni kismat ka dosh dete hai , But mai Bata Du Aisa Wahi Log Karte hai jo kuchh nahi kar sakte wahi kismet ka dosh dete hai ,
Agar aap kuchh nahi karte ho , to aapko utna hi milega jitna kismet me likha hoga ,agar aap kuchh kar dete ho to aapko wo milega jo kismat me nahi likha hoga , : -success
“Log Lagte hai ,Kismat Me Jo Likha Hai, Wahi hoga,To Koshis karne Se Kya Fayada,Kya Pata Yr Kismat Me Koshis Karna hi Likha ho” : -success
Yani kismat koi likhta nahi wo to ham khud likhte hai maine blogging me bahut galti ki jiske karan aaj mai pichhad gaya hu so aaj mai aapko apne life se judi har ek bat ko bataunga , jisse janne ke bad , aapko hakikat ka pata chalega , aakhir ravi kumar sahu itna pichhe kyu hai ,
ravi kumar sahu ke bare me , Aur Abhi mai kya karta hu – मै success क्यू नही हूँ ?
Mai aage ki story sunane se pahle mai aapko apne bare me present time me kya kar raha hu , wo bata raha hu mera name to aaplog jante hi ho mai bihar ke begusarai district ka rahne wala hu , apne ghar se dur rent par rahkar padhai karta hu aur sath me anytechinfo ko run karta hu,
aise to mai apne area me computer teacher ke name se famous hu , lekin mai isse bhi jayada intrested mathematics paper me rakhta hu so mai computer ke sath math ka class bhi leta hu,
Aur mai paid service online karta hu , sath me mai kai offline business bhi karta hu jo share to nahi kar sakta kyuki mujhe jo kam achha lage wahi work mai karta hu aur usi me invaste(Money & Time ) bhi karta hu,so mai koi bada aadmi nahi hu,aap logo se bhi niche and simple insan hu ,
### Starting Chhoti Problem Se 1 मै success क्यू नही हूँ ?
Sabse pahle mai aapko bata du mai English nahi janta hu aur log kahte hai bina english kuchh nahi kar sakte actually maine kabhi English padhi hi nahi bus dosto se bat karte karte thodi bahut sikh gaya ab to ek aadmi ke dainik jiwan me jitni english aani chahiye utna to janta hu but pahle me nahi janta tha ,
Aise india me us logo ko jayada achhe insan kaha jata hai jo english janta hai “Ha Ye Bat Mai Nahi Kah Raha hu, Jo Achha English Jante hai, Wo Achhe Aadmi Hai, Aap Urop Chale Jao Waha Jhadu Lagane Wale Bhi Achhe English Bol Lete hai” : -success
ab mai aapko batata hu blogging me mai kaise fail hua ,
Maine blogging ko bina sikhe aur bina jane blogger platform ke bare me jankari mili iske bare me jayada search na karte hue maine blogger par ek blog bana li , ravikumarsahu ke name se kyuki us time bus mai itna chahta tha ,mera name google me aaye aur mai uspar motivation se releted post likhne laga ,
- Online Content Writing Job Requirement By- AnyTechinfo.Com
- aajtak news की success story – कैसे सफल हुआ यह news चैनल
### Starting Chhoti Problem Se 2 मै success क्यू नही हूँ ? jub mera name google search me aa gaya to mera man aur bhi kuchh karne ko kaha, us time maine blog par 10 post likh chukka tha wo to 10 post maine blog par 1 month me likhi thi aur sabhi post khud ke idea se nahi ek facebook page se copy kiya tha,
us time mere blog par trafic 50-100 pageview hi hote the uske bad maine kai website dekhi to uska malik ka name kuchh aur rahta tha aur uske website ka kuchh aur to maine bhi ek faisla kiya
### note – aapko suru me hamari unsuccessful story padhne me boaring jarur lagegi ,lekin kuchh time bad aapko waise – waise experience apne dukh bhari kahani ke sath share karunga ,
jo padhke aap motivate hi nahi kuchh karne ka lalak aa jayega aur ek din khud aap logo ke liye insparation ban sakte ho to aap is article ko pura raed kare yaha hum aapko bore nahi hone denge aap pakka kuchh nahi bahut kuchh naya sikhoge ,
Maine kya faisla liya,
Kyu na hum apne blog ka ek name de de, kyuki name par blog achha nahi lagta to maine usse ek name diya techworldinhindi kyuki mera blog technology se releted tha to maine socha yaha to hame word ke har ek technology ko share Karna hai to ye name better rahega ,
Iekin maine is blog par 3 month tak kam kiya mere pageview tab tak 600-700 hone lage , 600-700 aur mujhe achha response bhi milne laga lekin kuchh logo ka sikayat aaya , name bahut lamba hai aur maine isse pahle bhi gaur kiya but jankari nahi rahne ke karan maine wo decide kiya ,
### Starting Chhoti Problem Se 3 मै success क्यू नही हूँ ?
Phir maine uska name change karke ek naya domain lene ke bare me socha kyuki blogspot bahut lamba name tha to maine socha jub site ka name change kiya to domain name ko bhi blogspot se .com kar deta hu,
main ek ladka se domain buy karwaya lekin wo mere site ka pura details mang raha tha yani maine usse bataya aapke account me paise dal deta hu , aap domain de do us domain ka name tha ****** ,lekin wo banda kuchh jayada chalu nikla ,
Bahut sari kahaniya batane laga phir bhi maine request ki request kyu nahi karta kyuki mere pass sirf bank account tha na hi atm aur na hi computer cyber café jakar , 1 hr ka 20rs leta tha last me usne domain nahi diya aur mera pasand ka choose kiya hua Domain Tha domain usi ke pass rakha rah gaya ,
Phir mai samajh nahi paya ab kon sa name rakhu bahut muskil hua bahut sare logo se suggestion liya 2 days ho gaya last me main ek aur domain check kiya jiska name tha anytechinfo aur ye name mujhe pahle ke sabhi internet par maujud website se achha laga ,
Aur us time rat ke 10 baj rahe the market ke sabhi dukan band main ek studio khula dekha waha gaya to wo internet use nahi karta tha phir maine mobile se connect karke ,jaise taise waha domain buy kiya usi dukandar ke internet banking se, kyuki mai ye kam phone se bhi kar sakta tha but mere pass payment karne ka koi sadhan nahi tha |
avi wo dukan wale mere ache friends hai aur mujhe jub bhi computer ki jarurat padti to wo mujhe apne dukan par free me baithne dete hai , khair Blogging Se To Ab apna Bada Phone Aur Laptop Ho gaya hai, unka name raushan kashyap hai aur unka chhota hai sumit patel dono ne mujhe kafi help kiya,
- Steve Jobs Success Story in Hindi – स्टीव जॉब्स सफलता का राज
- Top 10 Popular Education Websites For Student 2021
### Ab kiya real problem ka samna, Jo Diya Sidhe Bada Jhatka 1
1 . Finnely aaj hi ke din yani kismat 28 february 1 year pahle 2016 me maine anytechinfo.com ko laya us time se mai thodi padhai , disturb karke blogging karne laga , aur logo ko kuchh na kuchh sikhane laga lekin kuchh hi moth me ye popular ho gaya alexa rank bhi bahut kam ho gai aur khus bhi tha response bhi achha aane laga aur facebook par meri friends circle achha ban gaya to finally august tak ye blog chala ,
2 . Phir maine adsense ka add lagaya bahut muskil se adsense approve hone me bhi kai Mahine lag gaye the ab kuchh paise aane lage , to usi dauran ek ladke se facebook par bate hui , wo hamari madad karna chahta tha kai post bhi blog par likha yani wo mera dil jit liya, mujhe uspar koi bhi nazar se sak nahi hota tha ,
3 . Last me maine usse apne site ka admin bana diya, bus aur kiya admin banaye hue 12 hr bhi nahi hue usne mujhe hi remove kar diya aur meri site usne chhin li bad me usne msg ki mera email hack ho gaya, bagairah – bagairah bahut sara jhut bola taki, mai uspar yakin kar lu,
4 . ab mai sochne par mazbur ho gaya ye kya hua mere sath ,
- “lekin kahte nahi hai , har ek chor sabut chhod hi deta hai”
Maine usse dusri facebook id Se usse msg ki yr tune to ravi ka site hack kar liya wo bahut khusi se bol raha tha ab mujhe maza aayega kyuki bina mehnat hi mai paisa kama paunga , lekin sayog mera jo domain tha maine usse share nahi kiya aur sabse badi bat mere pass us blog ke content ka backup tha aur template ka nahi tha,
To maine jaise taise us site ko recover kar diya , lekin sabse badi musibat mera sara traffic loss ho gaya kyuki Sabhi content ka naya url ban gaya ab sirf kahi share karta to view milta ,
search engine se sara view gayab ab to hame ye bhi dar lagne laga adsense bhi ban na ho jaye. kyuki badi muskil se maine usse hasil kiya tha kyuki traffic low tha kuchh bhi nahi hua ,
5 . log kahte hai ,
“Is duniya me kuchh bhi imposible nahi , hum wo sub kuchh kar sakte hai , jo hum chahte hai” , : -success
Yahi ummid se mere me aur kuchh karne ki hausala aa gai aur maine phir se apni life me ek bar risk lene ki sochi ,
“aur life me risk na lena hi sabse bada risk hai mai risk lunga” : -success
phir se than liya blooging me kuchh na kuchh karna hai bus 2-3 month bad hi mukesh ambani ji Ne jio sim ko launch kiya usme maine joi sim se releted kai post kiya jo kaphi popular ho gaya dekhte hi dekhte mera pageview 14K+ ho gaya daily ka aur income bhi bahut achhi hone lagi jaise mano meri life hi badal gai , kyuki
“Aapko pata hai , Ek blog shuru karna aasan hai , lekin isse jinda rakhna itna aasan nahi” , : -success
Aur ye sach hai lekin ye story avi hi khatm nahi hui kyuki aaj jio hai to trend chal rahi hai , lekin isse meri jindgi nahi badlegi iske liye mujhe kuchh karna hoga , kyuki meri life mere alawa koi nahi badal sakta hai , “Agar aapko lagta hai, koi meri life koi badal sakta hai , to mai aapko kahunga aap ek bar aap aine ke samne khade ho jaye jo chehra dikhega uske alawa aapka life koi nahi badal sakta” : -success
### Ab kiya real problem ka samna, Jo Diya Sidhe Bada Jhatka 2
1 . Bat hai dec 2016 ki blogger par pageview to bahut aane lage aur income bhi , to maine socha kyu na ab achhe khase paise invaste kiya jaye yani khud ka hosted site banana chahta tha , lekin yaha bhi bahut badi galti hui hai mujhse jo ,
“Sabse Badi Duniya Me Sabse Takatwar Wahi Log Hote Hai,Jo Dhoka Khane Ke Bad Bhi Logo Ki Madaa Kare” : -success
Maine sahi se apni site ko migrate nahi kiya jiski wajah se mera sara traffic phir se loss ho gaya aur jaha ka tha phir wahi aa gaya ab phir se track par aane ki koshis kar raha hu aur hame aaplogo ka support chahiye kyuki mere life ke aaj ka din aur maine jub is duniya me aaya us din dono important hai ,
“Kyuki us time mai paida hua aur mujhe aaj pata chal gaya , mai kyu paida hua” : -success
Ab Aaplog Ye Soch Rahe honge , Ki Itna Sub Hone Ke Bad Anytechinfo.com Ko Band Kar Deni Chahiye , To Mai aapko bata Du,
“Jindgi Me kuchh bhi ho jaye To Ghabrana Ya Darna nahi hai, Kyuki Darte Wo Hai JInhe Dudh(Milk) Phatne Ke Bad Panir Banana nahi Aata Hai” : -success
” Mere Girne Me Meri har Nahi ,Kyuki Mai Aadmi Hu Koi Avatar Nahi” Mai To Aapko Yahi Kahunga, : -success
2 .maine unlogo se mafi mangna chahunga jisse maine kabhi galti se dil dukhaya ho aaj se mai wo ravi nahi hu jo kal tha aaj mai is duniya me phir se aaya hu ek mahan vicharak ne kaha ,
“Logo ke liye aap tab tak ache hai , jub tak aap unki ummid ko pura kar rahe hai ,aur aapke liye sub log tab tak ache hai , jub tak aap unse koi ummid nahi rakhte hai” : -success
Log aap is vichar ko aaiye humlog milkar nibhate hai, bina koi lobh – lalach hum ek dusre ko madad kare aur kisi se bina matlab aur kisi ko chhota ya bada na mante hue , sabhi ek ache relationship me rahe ,
“Sirf Paise Se Hi Koi Insan Amir Nahi hota hai, Uske Liye Uske Pass Achhi Vichar,Achhi Soch Aur Aap Jaise Dost Mil Jaye Usse Bada Dhanwan Koi Nahi Hai” : -success
Ek Request Hai Aaplogo Se , Aagr Mai Koi Galti Karu To Aap Mujhe Batao, Kisi Aur Ke Samne Charcha Karke Meri Izzat Par Kichad Mat Uchhalo Kyuki
” Meri Galtiya Mujhse Kaho Dusro Se nahi Kyuki Sudharna Mujhe Hai Dusre Ko nahi” : -success
“Mujhse Nafrat Tabhi Karna Jub Aap Mere Bare Me Sub-Kuchh Jante Ho Tab Nahi Jub Mere Bare Me Kuchh Suna Ho” : -success
“Agar Koi Mujhse Nafrat Karta hai,To.Sorry Mere Pass Time Nahi Hai, Aapse Nafrat Karne Ke Liye ,Kyuki Mai Busy Rahta Hu Unlogo Me Jo Mujhse Pyar Karte hai” : -success
Sabse Badi Bat Meri writing Skill Problem bhi hai Iski Wajah Hai Mai Bihar Se hu, Actually Yaha Ka language Kuchh Ajeeb hai Lekin Aap,Ye na Socho Ki Mai Kya bol raha hu, Aise To Koi Bhi Language Place Par depend Nahi Karti hai, But Bachpan Se Hi School, College Me Pure Hindi ka Use nahi Hua, Aaj Mai Jo Bhi Itna Achha Bol pata hu Is Duniya Me Aane Ke Bad Hi ,
Aur Bhi Mai Sath Me Post Write Aur Internet Technology, Sikhane Ke Liye Khud Bhi Harwaqt Sikhna padta hai, Side Se Offline Work Aur Sath Me Padhai Bhi, Yani Bahut Struggle Karna Pad Raha Hai, so Mai To Harwaqt Chahta Hu Mere Life Me Tension Aaye ,Kyuki Tension Me Jine Ka Maza Hi Kuchh aur hai,
To dosto , yaha mai suceess story ke badle unsucces story bata diya, kyuki mujhe nahi lagta hai mai ek suceessful blogger hu , ha baki kamo me mai suceess hu but blooging me jub tak mujhe khud nahi pata chal jaye mai suceess hu, tab tak duniya chahe kuchh bhi kahe mai nahi manta , “kyuki mai khud ki sunta hu duniya ki nahi duniya ki rit hai aap kuchh karo to bhi log bolenge aur kuchh nahi karoge to bhi log bolenge to kyu na kuchh kiya hi jaye” : -success
To Dosto Aaplog Anytechinfo.com Se Kuchh na Kuchh Sikhte rahe Koi Jaruri Nahi Hai, Aap Yahi Se Sikho Aapne 3 Idiot Movie Dekhi Hogi, waha Amir Khan Koi Bhi class Me Baith Jata hai, Yani Jaha Se Gyan Mile Waha Gyan Lo Paise Ke Pichhe Mat Bhago pahle Jitna Ho Sake Sikho ,
” Kyuki Aapke Pass Mind(Dimag) Rahega,To Paisa Kama Sakte Ho,Lekin Kitna Bhi Paisa Laga Lo Dimag Nahi Kama Sakte” : -success
Aur Aap Kitna Bhi Bada Aadmi Ban Jao Apne Par Ghamand Mat Karo Ye mat Socho Ye Mai Nahi Karta to Ye Ho nahi Sakta Tha,
“Kyuki Har Ek Itt Sochta hai, Diwar Usi Se bana hai,Lekin Hame pata hai,Usse Banane Me Itt Ke Alawa Bhi Kuchh laga tha” : -success
Please Mere Friends Apna Idea Humlogo Se share Kare, Kyuki India Me Bahut Ki Kam Log Aise Hote Hai , Jo Idea Share Karte hai ,
” Agar Aap Ek Apple Hame Diye Aur Ek Apple Maine Aapko Diya, Koi Fayada Nahi Bat Barabar , Agar Aapne Ek Idea Share Kiya – Phir Maine Bhi Ek Idea Share Kiya ,To Hua Kya Aapke Pass Bhi 2 Idea Aur Mere Pass Bhi 2 Idea” : -success
Pata Nahi Yr India Me Ye Sabhi Bate Log Kab Sochenge, Isliye Dosto Share Hi Karna Hai,To Idea Share Karo, Aaj mai kisi ko comment karne nahi kahunga ya mere dukh me samil hone ke liye aapka dil kare to aap suggetion do,
aur dil kholke Commment karo bus mera maksad ye tha aakhir anytechinfo itna pichhhe kyu hai mai god se dua karunga , mai suceessful insan banu ya nahi mere sabhi bhai log suceessful ho jaye us din apne suceess se jayada khus mai aapke suceess se khus hounga ,
ps – aaj 19-09-2019 hai, mai iss article ko padhte padhte khud bahut rone laga kya din the, aaj aapke pyar ne mujhe bahut kuchh diya hai aaj sabkuchh hai, meri jarurat ki har chiz hai aur chhote mote sare sapne kabke pure kar liye , ab sirf bade bade sapne par nazar hai mera so aapka pyar isi tarah mila to sab kuchh hasil kar sakta hu mai,
Kafi mja aaya pdhke
thank you and keep visit