How To Delete or Deactivate Facebook Account in Hindi

6

Deactivate Facebook Account – Hello friends Aaj aapke bich phir anytechinfo.com ek jabardast article ko leke aai hai Jisse aap apne fb ko deactivated ya deleted kar sakte hai,khud ka apna facebook account kaise Delete kare,

Dhyan rahe yaha mai khud ke account band karane ka tips share kar raha hu isse aap kisi aur ka account band nahi kar sakte hai,agar aapko kisi aur ka account band karna hai to aap hamari dusri post padhe maine isse pahle wo post likh chuka hu, Kisi aur Ka facebook account Band kaise kare |

deactivate fb account

Deactivate Facebook Account kya hai? Mai simple language me aapko bata deta hu, kyuki ye post bahut lambi ho jaye details me hum aage janenge, Deactivate Facebook Account ye hai ki jaise aap man lo aapka exam aa gaya ho aur aap nahi chahte mujhe fb paresan kare jaise hi fb open hoti hai notification ki ghanti bajni suru ho jati hai,

Supposed aapka exam 8 din chalega to aap 08 din ke liye Facebook se left ho sakte ho isi parkiriya ko Deactivate Facebook Account kahate hai,

Ab hum bat karenge deactivated karne se kya hoga? Isse aapke har ek friend ke friendlist se aap gayab ho jaoge yani aapko kitna bhi koi search kare Facebook pe aap unhe nahi milenge,

Ab hum dekhte hai, Facebook account deleted kya hai?

Puri tarah se jo id deleted kar di jati hai yani ye id kabhi bhi open nahi hogi, Facebook account ko deactivated ya phir deleted kyu ki jati hai? Aise bahut sare aadmi ke sath hota jisko fb use karne ka man na ho, ya uske pass 2 id ho wo chahta ho ek id ko band kar de, aise bahut se region ho sakte hai,

Facebook Account Deactivate कैसे करे,How To Deactivate Facebook Account in Hindi

Step 1 : Sabse pahele aap apne fb pe login kare, Login hone ke liye niche login Facebook click kare,

Step 2 : Uske bad apne Facebook ka backup bana le, taki kabhi bhi jarurat pade to aap apne comment,photo aur bhi bahut chize aapko future me jarurat pad sakti hai,

Facebook Account Ka Backup Kaise Le ?

Facebook login》》General setting》》Download copy.

facebook download data

Step 3  : Deactivated karne ke liye niche diye gaye,deactivated Facebook account  pe click kare,

Step 4 : Uske bad aapke samne ek page open hogi us page me aapse Facebook deactivated karne ka resion puchha jayega aap koi ek region ko selected kar le,

Step : 5 Uske bad aapse ye puchha jayega aap usse kitne dino tak deactivated rakhna chahte hai, wo selected kare,

Step : 6 Finally ye sub karne ke bad aap deactivated pe click kar de,

Note – Agar aapne apne jo id deactivated kar rahe hai, agar wo id koi Facebook page ka admin hoga to aapse ye puchha jayega to aap kisi ko apne page ka admin bana de,

Ye to raha kuchh time band karne ka tarika puri tarah se Facebook ko band kaise kare Jante hai step by step,

Facebook Account Delete कैसे करे,How To Delete Facebook Account in Hindi

Step 1 : Facebook account deleted karne ke liye niche “Deleted my Facebook account” pe click kare,

Step 2 : Aap apna id login kare, agar aap pahele se login hai to

  1. Ab aapse Facebook ka password puchha jayega,
  2. Uske bad aapko captcha code ko bhar de,
  3. Uske bad aap ok button or click kar de,

ab aapka id finnely delete ho chuki hai,

Note – isse aap 14 din ke Under DELETE ko cancell bhi kar sakte hai, agar 14 din par ho gaya to aap kuchh bhi nahi kar sakte hai, Smajhne me kahi problem ho rahi ho ya phir koi bhi sawal ho to aap hame comments ke madhaym se bataye,

6 कॉमेंट्स

जवाब दे

अपना कोमेंट लिखे
अपना नाम लिखे

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.