Hi friends kya aap jaante hai ki aapka Adsense account danger (khatre) me hai, really yah koi April fool prank ya joke nhi hai, yah true hai bahut se bloggers ne apne Adsense account me Invalid Clicks or Fake Clicks Activity dekhi hai.
Friends aapne experienced kiya hoga ki aapki Estimated earnings, click ki comaprison (tulna) me kaafi kam hai. Specially kuch countries jaise ki United State, or other countries se aapke blog me clicks to aate hai lekin fir bhi aapki adsense earning kam rahti hai,
actually aapne apne Adsense account me $0.01 – $0.04 CPC dekha hoga isse pata chalta hai ki jin countries ya other countries se aapke Adsense account me clicks aa rahe hai, actually we fake or invalid clicks hai.
Friends bahut se Bloggers and Webmasters ne isi invalid activity or other reason ke kaaran apna Adsense Account kho diya. Like Zac johnson jinhone apna 10 year old Adsense account kho diya,
Yah kaise hua? Actually yah unki unawareness ke kaaran hua. To isliye aapko me salaah deta hu ki aap koi galti na kare or apne Adsense Account ko safe or secure rakhe. So friends aaiye Adsense Account Ko Invalid Click Se Kaise Bachaye. Or Adsense Account Ko Disable Hone Se Kaise Bachaye Jante hai.
- Blog Post को 1 Minute में Google Search में कैसे लाए – killer Trick Fast Index Tips
- Google से पैसा कमाने के आसान तरीके – How To Earn Money From Google in Hindi
- Google Adsense Optimization : Adsense Earning कैसे बढायें ? Increase कैसे करें ?
Kaise Jaane Ki Aapke Blog Me Kis Country Se Invalid Clicks Aa Rahe Hai ?
Bahut se Bloggers iske baare me pehle se jaante hai lekin kuch nhi. To isliye me aapko bata raha hu ki kaise aap jaan sakte hai ki Aapke Blog Me Kis Country Se Invalid Clicks Fake Clicks aa rahe hai. Ise janne ke liye diye gaye Steps ko follow kare.
- Apne Adsense Account me Log in kare.
- Ab Overview this month par click kare.
- Ab upper right corner se aaj ki Date select kare.
- Ab Left sidebar me Coutries par click kare.
- Ab carefully dhayan se pratyek Country Name ke saamne front me diye gaye number of clicks ( clicks ki sankhya ) check kare.
- Ab yadi aapko aisi koi contry dikhi jisme clicks to kiye gaye hai lekin waha CPC bahut kam hai, tab iska matlab ki aapka Adsense Account Danger (Khatre) me hai.
Apne Adsense Account Ko Invalid Clicks Se Kaise Bachaye Or Apne Adsense Account Ko Disabled Hone Se Kaise Bachaye ?
Yadi aapko apne Ads me invalid clicks dikhayi diye hai, tab aap sabse pehle Clicker (Click karne waale) ki IP address detect karne ki koshish kare. Yadi aap uske IP address succesfully detect kar lete hai tab aap use apne ads dekhne se rokne ke liye use block kar sakte hai, is tarike se wah aapke ads ko nhi dekh paayega.
Yadi aap jaha se yah invalid clicks ho rahe hai uske IP Address ko fetch nhi kar paaye. Tab apne Adsense account ko safe rakhne ke liye me aapko most recommended way ke according yah batata hu ki aap apne Blog / website me kuch time ke liye Adsense ads dikhana band kar de ,
kyonki yadi aap apni website me Ads ko kuch time/day ke liye dikhana band kar denge to isse aapko kuch Dollars ka nuksaan to hoga lekin yadi aapne aisa nhi kiya to aap apna Adsense Account hamesha ke liye kho sakte hai. Jo ki kisi bhi Blogger ke liye ek Dangerous thing hai.
Note : friends kai baar aisa hota hai ki hamare blog me Good CPC ke saath bahut se clicks aate hai jo ki hame achhe bhi lagte hai. But ek baat dhyan rakhe ki yah Invalid clicks bhi ho sakte hai.
Ise achhi tarah se samajhne ke liye ham ek example de rahe hai, supppose maan lijiye ki ek person aapke Ad par click karta hai, or Google is ek click ke liye aapko $2.0 deta hai jiska matlab Click 1 and CPC : $2.0. tab ab ek other person ke dwara 9 clicks kiye jaate hai jo ki invalid clicks hai or Google aapko in clicks ka kuch bhi nhi deta,
tab appka Stats Click : 10 and CPC : $0.20 dikhayega, jo ki achha dikhta hai or ham generally sochte hai ki yah thik hai, but yaad rakhe ki yadi CPC achhi hai to iska yah matlab yah nhi hai ki yah example ki tarah hamesha thik hi ho,
So yadi aapko apne Ads me invalid or unusual clicks feel hota hai tab aapko Google ko is baat ki report karna chahiye. Taaki wah aapko galat na samjhe or aapka Adsense account invalid clicks se safe rahe or aapka Adsense Account Disable na ho paaye. Aap General invalid questions ki information ke liye is link par click kare,
- Blog Sitemap को Google Search Console Tool में कैसे Submit करें ?
- Apne App Ko Google Play Store Par Upload Kaise Kare ?
- Google Sitelinks क्या है , Extra Sitelink Remove कैसे करे ?
Invalid Clicks Rokne Ke Liye Plugin Ka Use Kare |
Friends yadi aap Wordress platform ka use kar rahe hai tab apne Blog me Invalid clicks activity rokne ka sabse achha tarika Adsense Click Fraud Monitoring Plugin use karna hai. Yah aapke Adsense Account Ko Invalid Clicks Se Safe rakhne or Adsense Account ko disable hone se bachane ka sabse Best Plugin hai.
Yah plugin other PPC Networks me hone waale invalid clicks ko monitor karta hai or yah plugin aapko aapke Adsense Account ko Invalid clicks se hone waale ban or Adsense Account ko disable hone se bacha sakta hai.
Final Words on Adsense Account Ko Invalid Clicks Se Kaise Bachaye or Adsense Account Ko Disable Hone Se Kaise Roke.
Yaha upar Adsense Account ko invalid clicks se protect karne ke kuch common tarike bataye gaye hai, jaisa ki maine pehle anytechinfo me bataya tha ki in dino Adsense Account Approved hona bahut hi hard hai, tab jab yah ek baar Approved ho jaata hai tab yah hamari responsibility hai ki ham ise Invalid clicks se bachaye or apne Google Adsense Account Ko Safe Rakhe.
I hope Yah Post Aapke Adsense Account Ko Invalid Clicks Se Kaise Bachaye or Adsense Account Ko Disable Hone Se Kaise Roke. Aapke liye Helpful hogi. But yadi aapke paas Adsense Account ko Invalid Click activity se rokne ke liye Kuch or Intresting Tips hai to unhe hamare saath jaroor share kare.
So Friends Yah Post Adsense Account Ko Invalid Clicks Se Kaise Bachaye or Adsense Account Ko Disable Hone Se Kaise Roke Aapko Kaisi Lagi Hame Comment Ke Maadhyam Se Jaroor Bataye |
Bhai mujhe aapse ye puchna hai ki aapne wordpress comments se date hide kaise ki hain . mujhe bhi all comments se date ko remove karna hain .
Ek code aata hai, Wo theme editor me.lagana hota hai google search kijiye aapko mil jayega |
Amazing post Mr. Ravi Kumar Sahu You are great.
Nice artical bahut hi badhiya tarike se sesamkjhaya hai thankyoy
आपका बहुत बहुत धन्यवाद् Keep visiting anytechinfo