Recover Deleted or Lost Data- Hello dosto aapne dekha hoga smartphone ya phir aapke mobile me aise dhero photos hogi, jo kisi karan was delete ho jati to aap pachhtane lagte ho but aap kuchh simple sa step kare me delete or lost data recover kar sakte hai |
Aise smartphone ki galary me dhero photos hoti hai,kai bar yah photos kisi galti ya virus ke chalte hamesa ke liye delete ho jaye to aap kya karenge, Yakinan pachhtava but pachhtane ki jarurat nahi hai Kyuki kuchh simple trick aap hamesa ke liye deleted ho chuki photos ko aasani se aap delete or lost data recover kar sakte ho,
Delete Photo Ko Recover Karne Se Pahle Kin Bato Ka Dhyan Rakhna Chahiye ?
- sabse pahele aapko ye dekhna hai aapke dawara jo photo deleted hui hai kaha save thi,Yani photo phone memory me save thi ya phir memory card me,
- Agar deleted photos memory card me thi aur aapko us memory card ko format kar diya, to aap bina Professional help ka bina aap recover/Wapis nahi kar sakte,
- Lekin agar aapka memory card format nahi hua hai to aap khud se bhi wapas kar sakte hai,
- Hacked Computer Ko Recover Kaise Kare ?
- Temporary Band Facebook id ko Chalu Kaise Kare ?
- Computer Myths in Hindi – कंप्यूटर अफवाह के बारे में पूरी जानकारी
Deleted or Lost Data/Photo ko wapas/Recover karne ke liye kya Kare ?
- memory card se Deleted or Lost Data ko Recover karne ke liye sabse pahele aap us memory card ko computer se connect kare aur aap apni memory card ka pura backup le le,
- Yad rahe agar memory card ke backup lene ke dauran agar kuchh file Crapt ho jati hai, ghabrane ki jarurat nahi hai, ok
- Jub hum koi bhi photo ya phir image ko hum deleted kar dete hai,to aapke deleted karne se deleted nahi ho jati, bulki wo hide ho jati hai,Phone memory se deleted photos operating system dawara chhipa di jati hai aur unki jagah nai photo le leti hai,isliye phone se nai photo lena band kar de, agar deleted ho chuki photos phone memory me save thi,
- Actually jub bhi aap nai photo lenge purani photos hamesa ke liye khud-b-khud deleted ho jayegi,
- Bahut bar phone memory me baki file bhi chhipi hui photos ki jagah gher leti hai, tab users ko recovery karne me paresani aati hai,
Isliye isse aasan tarika ye hoga ki jub tak phone memory se deleted photos ko recover na kar li jaye, tab tak phone memory me koi connect message ya koi bhi file save na kare,
Photos recovery karne ke liye kya kare ,Delete Image Recover Kaise Hoga ?
- Phone se deleted photo ko Recover karne ke liye aapko ek Additional photo recovery software ki jarurat padegi,
- Isliye third party software ka upyog kare, jaise aap Asoftech Photo Recovery software ka istemal kare,
- Ab aap is software ko download karne ke bad apne computer me install kar le, phir computer se phone ke memory card ko card reader ke dawara connect kar le,
- Delete photos phone memory me save thi to phone ko computer ke sath USB CABLE ki madad se connect kar le, {Jayadatar ::- computer me phone ya phir memory card drive H ya phir G ke name se My Computer me dikhati hai}
- uske bad aap Asoftech photo recovery software pe click kare aur jaise hi program suru hote hi phone jis bhi drive ke name se computer me dikhe use aap chhose kare,Ab phone ki scanning khud start ho jayegi,
- Scanning puri hote hi software un photo’s ki list user ko dikhega, jo photo ya image Recover ki ja sakti hai,
- Di gai List me se jin bhi photos ko aap Recover karna chahte hai, unhe aap select kare, aur uske liye aap recover pe click kare,
- Ab aap dekhenge sari photos wapis aap phone me save ho chuki hai Aur Jo File By de we crapt ho gai ho Usse delete kar de,
Kyuki Kuchh file aisi hoti hai jo crapt kar jati hai jo Achhe quality ke nahi hote hai,I Hope, Mujhe ummid hai ki aap apne photo ko recover karne me kamyab ho Gaye ho,Agar Iske bad bhi koi problem hoti hai,ya otherwise koi sawal ho to aap Hamse Comment me puchh sakte hai aur iss article ko jayada se jayada share kare |
Mere photo vapas nahi ho rahe. Vapas kese kare
aap upar se step ko achhe followe kare jarur wapas honge
Hello sir,
Deleted Photo (Images) Ko Recover Kaise Kare computer (pC) me
Ok Ispar Mai Ek Post Likh Deta Hu
OK Muje reply karna sir fast
Jarur And Thank You
Muje software ka name do n sir plz…
Sir mera fon mi ka h or mene usme pic hide ki thi wo phone m hi hide thi koi app nhi tha but pics nhi h ab plz sir btae kya kru
Nice Post Sir
Thank You