How To Write a Resume in Hindi

4

Aajkal Resume ki jarurat har ek jagah padne lagi, Chhoti Si Chhoti job me Aap kahi bhi Naukari ke liye Form apply karo, Ya kahi Job Dhundhne jao, Waha Aapse Kuchh nahi puchha jayega, Sabse pahle wo aapse puchhega Aapka Resume or biodata kaha hai,

To Isi Ko Dekhte Hue Mai Aaj bataunga Resume Kaise Banaye hai, Resume Ki kya jarurat hai?, Resume kyu Banaye, Perfect resume kaise banaye Ki Jisse Hame jaldi Job Mil jaye?, Sabse Alag BioData Kaise Banaye, Kaisa BioData Banaye ki hame naukari/Job bahut jald mil jaye, Resume Kitne Type ke hote hai?

Lagbhag Ye sabhi sawal ka answe Aapke pass jarur hoga, Lekin Sahi Aur correct Answer nahi hoga, Bahut sare log to aapko Aise hi mil jayenge Jise resume ke bare me bhi jankari nahi rahti hai,Khair Koi bat nahi mai is post ke madhyam Se Mai Koshis karunga Aapke sabhi sawal Ka solution Ek Hi post me bata du,

How To Write a Resume in Hindi

Tips For Writing a Resume in Hindi

Aise mai aapko Resume se releted 3 Post karunga Jisme aapko bhaut Kuchh sikhne ko milega, Isliye Aap Anytechinfo.com ki nai update ko check karte rahe, Hum post kabhi bhi kar sakte hai.

Koi Bhi kam ke Liye BioData hona jaruri hai, But Achha BioData Hame Naukari Milne me madadgar hi nahi, Kafi had tak Naukari pakki kar hi deti hai,Kyuki Bahut sare aadmi ke BioData se hi Pata chal jata hai, is aadmi ke pass khas qulaity hai.

Resume Banane Se Pahle Kya Kare, Kya Na Kare ? Resume Banane Se Pahle Kin Bato Ko Dhyan Me rakhe
  1. Sabse Pahle Aap apne subject me jo khas jankari dena chahte hai, Unhe ek achhi copy me note kar le.
  2. BioData banane se Pahle Aap apne bare me jitna jante hai, Wo bhi note kar le , Jaise Factual information,  date etc Note kar le.Apni Personal details jarur de.
    Sabse pahle BioData ki suruat me Apne bare me Likhe Jisme aapka name,Address,  Email aur mobile number Jarur hona Chahiye.

1. Apne carrier ke bare me Likhe :: Isme Aap apne carrier ke bare me Kuchh likhe, Yani Aap kon Sa work me Sabse Jayada Intrested hai,Aapka Target kya hai, Aap kon sa field me apna Carrier banana chhate hai.

2. Apni Qualification bataye :: BioData Me Aap apni Qualification jarur add kare,Jisse hum bahut hi aasani se Jan payenge, Aap kaha tak padhe likhe hai,Iske sath aapka Jo Main exam honge Unka marks jarur Add kar de.

3. Other Qualification Bhi De :: Pahle mai aapko bata du other qualification kya hai?
Qualification to hum jante hai,Jaha tak ham padhe Wahi Haamri qualification degree hai, But other qualification ke bare me hum log nahi jante hai,Iske bare me jante hai,Other question wo Degree  hai, Jaise Hum Padhai ke Dauran jo degree prapt karte hai,Usse hi other qualification degree kahte hai,

Jaise Aapne graduation karte hue,Diploma/ ITI Kar liya ho To Aapko waha 2 Course hua ek  graduation Dusri Diploma/ITI Graduation Aapki qualification Hui Aur Diploma/ITI  Other Qualification hui,

4. Apni Extra Activities bhi bataye :: Extra Activities me Aap Jaise Aapne Padhai ke Dauran Khel me Kuchh extra kiya ho,Aap dance me jayada expert ho Ya phir ye bhi ho skata hai, Aap Cricket achha khelte ho Aur Bhi bahut Kuchh Aap apne BioData Me extra Activities jarur likhe.

5. Apni Work Experience bhi bataye :: Ye bhi BioData ko khas banane ke liye aham role ada karta hai,Aapne jis job ke liye BioData bana rahe ho,Usse Pahle Aapne Kon Sa kam kiya uska details jarur de,

Page bhadne ke liye jo man me aaye wo na Likh de,Kyuki Koi Bhi insan apane Life me bahut kam kar chuka hota hai,Iska matlab ye nahi Aap BioData Banane ke chakkar me ek book hi likh do,jo jaruri aur famous Apne hisab Se Work experience likhe.

6. Body Language :: Ab Aapne BioData Bana liya,Use Boss ke pass bhej diya iska matlab ye nahi ki,Aapne Resume Dekar apna kam aasan kar liya Kyuki BioData utna important nahi hai,Jitna Aapka body language ho,Isliye Aap bolne ki capacity aur bat karte waqt Hamesha muskurate rahe .

Resume Kaise Likhe,Resume Likhne Ke Dauran Aap is Galti Se Bache

Original Information Provide Kare, BioData me sirf original information hi dale koi bhi galat information na dale agar aap galat information dete hai isse aapko nuksan hi hoga,Kahi se fayada hone ka chance hi nahi hai .

1. Resume Me wahi Bato Ko Write Kare,Jo Aapne kiya ho :: Maine Bahut sare logo ko Dekha Hai ki Resume Ko Achha Dikhne ya kisi ke samne impress banane ke liye, BioData Me Bahut hi extra knowledge Dal dete hai,Jiske bare me unhe khud Kuchh bhi pata nahi hota hai,Isliye Aap wahi Point ko BioData me de Jisme aapko confident ho.

2. Bewajah Space Na De :: Ye bat me to kahi se Kami  Hi nahi hai,Aap Bachpan Se hi jante hai Word ko hatakar Likhe,That mins saf sutra likhe ye to sahi hai,

But log Saf likhne ke chakkar me Itna jayada Space dete hai,Jisse BioData ka look Kharab hi nahi, Dekhne layak bhi nahi rehta hai. Isliye Aap BioData banate waqt jaruri space hi de.

3. Hard Word ka use na kare :: Maine bataya na Aaj ke log bahut hi smart ho gaye,Jub bhi log achhe insan ya kisi se bat karte hai,To Wo har time koshis karte hai,Aisa kon-Kon sa word ka use kare ki Samne wale bande ko samajh me na aaye,

Same wahi bat BioData me bhi karte hai,Tuff word ka istemal Sach me aapko lagta hai, Tuff word ke istemal Se Aap apne boss ke samne impress bana sakte hai, To Aap had Tak galat hai, Ha agar Aap Aisa karte hai,To Aap Jo bhi tuff word use karenge Uske bare me puri jankari hasil kar le uske bad.

4. Grammatical Mistak Se Bache :: Ye issu bahut hi dengeras hai,Mai 3 Sal se blogging  karta hu, phir Bhi mai bahut jagah galat word likh hi deta hu, Yad rahe BioData Me grammatical Galti na kare Jisse aapka impress kharab ho jaye,Koshis kare BioData Ko Aap Kai bar achhe se padhe ,That mins 1-1 Word ko Aap Dhyan se dekhe kahi koi letter galat to nahi hai,

Asia bahut bar hota hai, Khud se banai Chizo ko kitna bhi bar kyu na dekh lo aapko apni Galti kahi se bhi nazar nahi aayegi,Aap BioData Ko koi Dusre aadmi se jarur check Karwaye,Isse Aapke BioData Me Ho Rahi Galti ka pata chal jayega,Mai ye bhi koshis karta hu,Koi word galat na ho,But visitor Pahchan hi lete hai.

5. Lamba Resume na Banaye, Jaruri Chizo ko hi written kare :: Bahut Sare Logo ka manna hai,Bahut Bada BioData Banayenge to Wo samjhega ladka bahut Talented hai,But Aisa Kuchh bhi nahi hota,Aap chahte hai,Mai apne bare me sabhi jankari resume me likh du Jisse Wo likhne me page ki sankhya bahut hi jayada ho jati hai Aur jub aapka BioData lamba ho jayega Jisse resume padhne wale ko lagega bahut bada hai ye pure BioData ko padhega bhi nahi,

isse hame bahut nukasan hoga aur Aapke bare me jaruri Chize Wo nahi Jan payega, 1-2 page ka hi resume Banaye usi me koshis kare hum Apni puri jankari usi me dal de Ek bat yad rahe Lamba resume padhne me log boaring mahsus karte hai.

6. Ek Pasport size ka photo jarur lagaye :: Ek achha resume ke liye Aap apne BioData Me ek passport size photo jarur lagaye, Isse look ke sath Resume Dikhne me bhi achha khasa lagega.

7. Font Size ka khayal rakhe :: BioData Me jayada font Size ka istemal se Bache,Aap ek Resume banate time 12-14 Font size ka hi use kare,Agar jayada Font size use karte hai To isse Aapko BioData bhi bada hoga Aur impress bhi kharab hoga,Ab Aapne BioData Ko achhe se banane ka traika to Sikh liya , Ab mai Aapke man me Khas sawal Aata hoga,

Aakhir Resume itna important kyu hai?

  1. kisi Bhi Company ke pass itna time nahi rehta hai ki wo har ek aadmi ka interview le, Isliye BioData hi ek Aisa sadhan hai Jisse Wo iss kam ko aasan kar deta hai,
  2. Resume ka goal Interview pana hi Hai,Jayadatar Resume Achhe Dikhne ke bad hi log hame interview me entry ka permission deta hai.Last me Aapse Mai Ek bat kehna Chahunga BioData me koi galat jankari na de.
  3. Resume Me Kuchh Aisa likhe ki samne wala baykti aapse sawal puchhne par majbur ho jaye.
  4. Sabse jaruri bat aapka BioData ganda nahi dikhna chahiye

Mujhe Ummid Hai BioData se Releted ye post aapko kafi badhiya laga hoga aur ummid hai aap behtar resume bana lenge, agar aap khud se nahi bana sakte to net par bahut sare tools maujaud hai, maine Online BioData Kaise Banaye uspar bhi ek post kiya hai jisme maine kai top website ke bare me bataye hai, ummid hai aap hamari () wo post jarur padhenge ) dhanybad |

4 कॉमेंट्स

जवाब दे

अपना कोमेंट लिखे
अपना नाम लिखे

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.