Top 5 Blogger Platform Myths in Hindi

54

Top 5 Blogger Platform Myths in Hindi – Hi frieds aap kaise ho I hope aap badhiya honge,aaj mai aapko koi jankari ya aaj tricks nahi bataunga , balki aaj hum aapko wo bate batayenge jo maine apne experience se maine gaur kiya,

aapko pata hai na aapko bahut sare blogger yaha tak ki chhote blogger to chhodo pro blogger hame kan me ek hi bat dal rakha hai, blogger platform se behtar hai wordpress platform relly aisa sun-sun ke humlogo ka kan pak gaya hai,

blogger platform jhuti bat

to friends Aaj hum aapko puri duniya se hatke blogger platform ke bare me jhuti bat bataunga ,blogger platform ke bare me 5 aphwah jinhe jankar aap aaj sare parde ke pichhe ke raj ko jankar hakikat ke parde par hakikat ka picture dikhaunga,

kyuki Isse Pahle Maine SEO Ke Bare Me 5 Jhuti Bato Ko Share Chuka Hu, aap jub bhi kisi se puchhte ho blogger achha hai ya wordpress to sabse pahle log aapko yahi kahenge wordpress chahe wo wordpress aur blogger me compare pata ho ya na ho , aapko wordpress hi suggest karega aisa kyu

Kyuki unhe suru se hi bataya gaya isse achha platform koi nahi hai ye bat mai bhi manta hu blogger se badhiya hai wordpress lekin yaha sawal ye hai ki aap blogger platform ke bare me waisa kyu bol rahe ho,jaise aapne suna hoga blogger kiraye ka ghar hai,free ki chiz achhi nahi hoti yaha par google ka jub bhi man hoga aapka blog delete kar sakta hai, ye sub kya hai kyu banate ho aaplog logo ko bewkuf ,

Blogger Platform के बारे में अफ़वाह

1 . WordPress  SEO ke mamle me Bahut Achha hai – Sabse bada jhut to yahi hai ki blogger blog seo ke mamle me bahut pichhe hai aur wordpress ke mukable ispar traffic bhi kam aate hai are mere bhai aisa kuchh bhi nahi hai dono platform apne jagah sahi hai,

ye to aap par depend karta hai aap seo ke mamle me kitne expert ho Traffic Depend On SEO Skills Never On Plateform Ye Aap Par Depend Karta Hai Ki Aap Apne Post Ko Kaise Optimize Karte Hai Jisse Ranking Badhiya Ho,

ye sabhi bate aap par depend karta hai ki aap seo ke bare me kitna achha jankari rakhte ho agar aapka manna hai seo ke mamle me blogger wordpress se poor hai to mai aapse yahi kahunga syd aapko seo ki jankari nahi hai aisa manne wala 100% galat hai,

2Blogger Ka Design,Look,Unprfessional hota hai aur wordpress ka design Look Professional Hota hai ? – Ye to sara sari galat hai agar aapke aas-pass me koi web-designer ho to aap ek bar use design karwa ke dekhe sub samajh me aa jayega, agar aap coding nahi jante ho to iska  theme achha nahi hai hai ye bat sach hai mai bhi manta hu ki wordpress par achha look ka theme mil jata hai aur blogger par hame utna achha template nahi mil pati

agar aap hame ye kahoge ki blogger ke liye achha theme yaha hai hi nahi to aap galat kah rahe ho kyuki aapne kabhi blogger ke liye paid theme try nahi kiye ho so friends aisa kuchh bhi nahi hai agar aap blogger par ek ache template ko dhundho to aapke pasand ka jarur milega,

3 . Blogger ek kiraye ka makan hai, aap yaha safe nahi rah sakte ho, aur aap apne blog ka malik aap nahi google hai,Aapka Blog Google Kabhi BHi Delete Kar sakta hai  – Jaisi hi aapne hamari upar ki heading aapne padhi ki bahut sare pro blogger ka name yad aa raha hoga ki wo sir hame suggest kar rahe the yaha mat raho kyuki ye ek kiraye ka makan hai aur ye aap ek jagah nahi kai jagah sune bhi honge aur sunne ke bad agar aapse koi puchha hoga to aapne ye suggestion  bhi diya hoga,

Agar avi Anytechinfo.com ko koi pro blogger is post ko padh rahe hai to, hame wo batayenge aap wordpress par safe ho yaha aapko koi kuchh nahi kar sakta,hosting wale aapke site down nahi kar sakti,

Kya aap wordpress par hi ho to kya aap galat karoge to pannelty nahi milegi kya jaha galat karoge waha saza milega aise bahut sari website hai blogger par rahte hue popular hai, aap mybigguide.com jaise website ko dekho |

isme aap kahoge aisa koi rule nahi hai jo bina bataye hosting wale mere blog ko kuchh kare to mai aapko bata du google me bhi aisa koi rule nahi jo bina wajah aapka blog delete kare aap itne bade platform par bharosa nahi kar sakte aur waha bharosa kar sakte ho,

Wo isliye ki aapke man me pro blogger baitha diya hai free ki chiz achhi nahi hoti hai aur aisa manne wale galat hai free ke chiz achhi bhi aur kharab bhi hoti hai lekin usse aap har ek jagah kharab nahi kah sakte hai,

Aur jaha tak bat hai kiraye ki to simple language me jaha hum rahenge agar uska paisa pay karte hai to kiraya hua to aap hosting company walo ko per month paise pay karte ho kiraya nahi hai Aur google ke ghar Free me rahne par kiraye ki bat karte ho jubki ye bat pata hai ek hosting company kabhi bhi band ho sakti hai, lekin google ka band hona ye sayad hi possible hai,

4 . WordPress ke mukable blogger jayada advertising Pasand Nahi Karta ( jhut ) – Ye to jhut hai kyuki avi tak aisa koi blogger user nahi bola ki advertising ke chakkar me mera blog delete ho gaya maine to avi tak ye bhi nahi dekha ki google ne kabhi kisi ka blog bhi delete ki hai lekin log isse sach man rahe hai aisa nahi hai aap jitna ads yaha use karte ho utna hi ad aap waha bhi laga sakte ho,

Sach to ye hai maine aise kai logo ko dekha hu jo wordpress user hai unka adsense account jaldi approved nahi hote hai aur blogger ka ho jata hai,Aise  to aisa koi rule nahi hai lekin aisa bahut ke sath ho raha hai kai blogger wordpress par move kiye the unhe adsense approve karne ke liye phir se blogger par aana hua uske bad phir wordpress par move ho gaye,

5 Blogger Secrity Ke Mamle me achha nahi hai jarurat padne par google aapke blog ko kabhi bhi delete kar sakti hai, – Kya batau dost ye ek aisa headline hai jisse sunke mai khud pak chuka hu,google  apne user ko kitna security ke sath rakhti hai jitna aapko other platform bhi nahi rakh sakte hai Aur blog delete hone wali bat ek bat yad rakhe bina galti kiye hame panelty koi nahi de sakta hai,

ha mai janta hu google copyright, spame ,porn ,illigle , aisi content allowe nahi karti hai, agar humlog inke rule ka Followe kare to hame koi kuchh nahi kar sakta hai Aur google kuchh bhi karne se pahle hame kai warning deti hai agar aap uske warning ko ignor karenge to pannelty milna possible hai,

Last word :: Mera maksad blogger aur wordpress me compare Karna nahi hai, bus kuchh seniors aur kuchh jayada jankar log blogger ke bare me aisa bol rahe the isliye socha ek post me kuchh galat fehmi bata du agar koi website ko lekar itna serious hai aur jante hai blogging me kuchh kar jayenge to apna blog wordpress par migrate kar le kyuki yaha jitney option aapko Milenge Utna kahi aur nahi milega,

Ek bat aur dosto chahe isme wordpress itna feature nahi ho lekin mai isse kharab kabhi nahi kah sakta hu kyuki aaj mai aapko itna kuchh bata raha hu ye sub blogger platform ka hi den hai sabse badi bat ye ek google ka service hai aur google ki koi bhi service ko hum kharab nahi kah sakte hai |

54 कॉमेंट्स

जवाब दे

अपना कोमेंट लिखे
अपना नाम लिखे

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.