Blog par guest post likhkar paise kaise kamaye, Top guest posting sites, guest posting sites list Hi friends guest posting sites ke bare me batane wala hu jinse aap dofollow backlink ke sath sath paise (money) bhi kama sakte ho.
Guest post kya hota hai aur ise kaise likhte hai ye mai already bata chukka hu, Aapko batade jin new blogger ka blog high quality content likhne ke baad bhi unka blog google search engine me sahi tarike se rank nahi kar pata unke liye guest posting ye sabse badhiya option rahta hai,
Jis site se ham guest post karte hai un sites se aapko dofollow backlink milti hai jo hamari website ki ranking improve karne me kafi madat karti hai.
So friends ye to ho gai guest posting ki bat lekin aaj ka jo topic hai usse aap guest post karke Dofollow Backlink ke sath kafi had tak paisa kama sakte hai. Aisa bahut se guest posting sites hai jo dofollow backlink provide karne ke liye kafi tagda paisa leti hai,
Agar kisi website ki ranking bahut jyada hai to aapko us hisab se apne website ke liye dofollow backlink pane ke liye aapko bahut sara paisa dena padta hai. Lekin in guest posting sites se aapko free me Dofollow Backlink to milegi hi sath me paise bhi milenge jo kafi acchi deal hai.
Apko internet se paise kamane ke tarike to pata hi honge lekin in website par bhi ek bar najar dale. Agar aap online paisa kamana chate ho to aap quality content likhkar in site par bhej sakte ho aur unse Dofollow Backlink ke sath paisa kama sakte ho,
Free Me Dofollow Backlink Kaise Banaye,12 Website
Me aapko guest posting sites list ke bare me batane wala hu jinse aap Dofollow Backlink aur paisa kama sakte ho Aur ha ye jo guest posting sites list hai inme se koi bhi sites aapse Dofollow Backlink pane ke liye 1 rupaya bhi nahi legi kyoki ye puri tarah se free hai,
1. Make A Living Writing :: Ye website aapko har guest posting ke 50$ deti hai. Is website par bahut se blogger aur writer apna article likhar dofollow backlink aur paisa bhi kama rahe hai,
Aapko bata de ki is site par kafi sare guidelines hote hai jo aapko pitch karne se pahle padhne hote hai aur uske baad aap apne kaam suru kar sakte ho.
- What is Facebook Instant Article And How Does It Work In Hindi
- Apne Article/Post Ke Liye Sahi Title Create Kaise Kare ?
2. The Write Life :: Number 2 par aata hai write life ye bhi kafi acchi writing website hai jaha aap guest post likhar Dofollow Backlink kama sakte ho Ye site ek guest post par 35$ deti hai, Agr aapne apne expiriance ko share kiya hai Blog, facebook ya whatsapp par to yaha par jakar review likh sakte ho,
Agar aapko is site se contact karna hai to The Write life.com par jakar contact karke aapko apne bare me puri details deni hoti hai aur aap kis topic par article likhna chahte ho ye unhe batana hota hai.
3. Be A Freelance Blogger :: Dosto ye ek Sophie Lizard ka blog hai jo host karta hai pick paste ke liye jaha par writer apne best pickest sent karta hai aur jo winner hota hai vo guest post ke sath sath apne website ya blog ke liye dofollow backlink deti hai,Aapko batade ki ek guest post likhne par aapko 100$ is site se milte hai,
4. Write Naked :: Ye blog hai jo kafi popular blog hai jo personal writing ke upar hai, Ye blog Tara lynne groth ka hai jo aapko is site par guest posting karne ke 50$ deti hai. Write naked website ki sabse khas baat ye hai ki jo article unko impressive lagta hai unko vo 200$ upar se deti hai.
5. Fund For Writers :: Is particle blog me aapko tips and tools ki jankari deta hai khas kar un logo ke liye jo apne aapko isi career me badana chahte hai, Ab aapko is site me keval tips and tools ke hi article share karne hote hai.
Is baat ka dhayn rahe ki yaha par How to create blog, How to write is type ke guest post accept hote hai. Agar aap inke related blog ke guest post share karte hai to aapko 50$ with Dofollow Backlink har guest post ke milte hai,
6. A Fine Parent :: Ji ha dosto jaise ki aapko naam se pata chal raha hoga ki ye blog parents ke upar hai jo aapko 100$ deti hai har post ka, Agar aapki koi post yaha par popular ho jati hai to aap yaha bonus bhi kama sakte hai.
7. Cracked :: Agar aap comedy writer hai to aapke liye website useful rahegi, kyoki ye website keval comedy se related content accept karti hai. Ye site aapko Dofollow Backlink ke sath 100$ guest post likhne ke deti hai.
- Computer Hack होने से कैसे बचाए ? क्यू हैक होता है कंप्यूटर
- What Is Encrypt Device And Encrypt SD Card In Hindi
8. List Verse :: Ye site bhi kafi badhiya hai is par list post likhar Dofollow Backlink aur paisa kama sakte ho. Yaha par aapko har guest post par 100$ milte hai. Aapko bata de ki is site par guest pst karne ke liye usme 1015 content aur 10 unique items hone chahiye.
9. Knowledge Nuts :: Is site ke naam se hi aapko pata chal gaya hoga ki ye kis bare me hai. Jab bhi aap koi short nuts ke bare me content likhte hai to uske aapko 10$ milte hai Jyada jankari ke liye aap is site par visit kar sakte hai.
10. Top Tenz :: Is me aap keval Top 10, Top 10 wale content hi likh sakte ho. Ye ek list website hai aur yaha par 50$ per list ka deti hai.
11. IWA Wine Blog :: IWA Wine blog aapko 50$ deta hai har guest post likhne ke. Agar aap wine me interest rakhte hai to aap research karke unke liye content likh sakte hai.
12. Boots N All :: Boots a all one stop travel guide hai jo aapko 50$ deti hai har ek feature article likhne ke liye, Jyada details ke liye aap is website par visit karsakte ho,
To friends in tariko se aap guest posting kakre Dofollow Backlink ke sath earning bhi kar sakte ho, Ek baat dhyan me rahe ki sabi guest posting sites list me sabi ke guidelines alag alag hai pahle aap unhe read kare phir article likhne ke soche,
Jin logo ko quality content article likhne ke bawajud bhi adsense se earning nahi kar pa rahe hai to aap guest blogging karke earning kar sakte ho Lekin in sites se earning karne ke liye aapko seo guest post likhna bahut jaruri hota hai tabi in site ke owner aapki guest post accept karenge,
Agar aap seo guest post likhte hai to aapko aur bhi article likhne ke liye samne se offer aane lagenge, Jaruri nahi hai ki har guest post par 50$/100$ hi milenge kyoki ye aapke content quality par depend karta hai,
Maan lijiye ki koi site aapko guest post karne ki 50$ de rahi hai, To aapko high qualiy content likhne par hi pure 50$ milenge, Agar aap low quality content likhte hai to aapko pure 50$ nahi milenge usse kam mil sakte hai jaise ki 25$/20$.
Ye jo maine aapko guest post websites ke bare me bataya hai ve keval English content hi accept karte hai, Agar aapki English acchi hai to aap in guest post websites par apna article likh sakte ho |
Motorola ke phon me bhi update h ya nh
Orr update h ya upgradable h nokia me or sumsang
aap check kar lo
Ravi yah post meri h usko Maine hi likha hai aap apna email check karo aapko realty pata lag jayegi meri email I’d ka name aman singh hai aap ek baar check karo
badi mistake ho gai nitin mera editor hai usse mai apne site ka id pass de rakha hu usss din ye post maine draft kiya tha sayad usse laga hoga mere pass time nahi hai isliye usne isss post ko apne hisab se pura karke published kar diya kya iss post ko delete kar diya jaye kyuki uski id se post published ho chuki iss post ko copy karke phir dusre id se paste nahi kar sakyta ye post index ho chuki hai Aap mere email par milo aur kya karna hai ya jo kuchh ho aap bata dena kyuki aapki khusi me hi meri aur hamari team ki khusi hai
bro new emoji tak puri post meri h or aapne pura credit nitin ko de diya
sorry iska karan maine isi post ke dusre comment me diya hai