Blogging में कितना पैसा और कहाँ Invest करे ?

71

Money invest in blogging : Hello Friends Isse pahle maine bataya apne blog kaisi post likhe kya likhe yani contant idea kaha se laye Abhi jo mai Aapko topic bataunga wo jo naye blogger hai ya phir abhi blogger par free blog Banaye hai uske liye ye post kafi useful sabit hogi,

kyuki isme aaj mai puri bate ko clear kar dunga ek professional blogger banne ke liye blog start karne me kitne paise lagte hai Kaha- kaha Invest hota hai aur blogging me kaha Invest karna chahiye Ki jaldi sucessfull Ho jaye ।

Agar aapke man me ye sabhi sawal ho Blogging Me Kaha paisa laagye, Blogging Kitne Paise Se Start Kar Sakte Hai,Blogging Karne Ke Liye Kitne Rupe/Paise Ki Jarurat Padti Hai,Blogging Me Kaha Kaha Paise Invest Karna Padta Hai, ब्लॉग्गिंग मे कितने पैसे लगाये  to aaiye  mai aaplogo ka sabhi confusion dur kar deta hu  ।

Invest

Blogging में Invest करना क्यू ज़रूरी है ?

Kyuki blogging ab kisi ka sauk nahi raha ye bharat me jujhte berojgar ke liye ek rojgar hai yani ye paise kamane ka ek jariye ban gaya pahle log sirf sauk ke liye blog start karte the ab log sirf aur sirf paisa ko hi target kar rahe hai  kyuki yah ek professional field ban gaya hai aur blog paisa kamane ka ek best option ban gaya hai,

kyuki isme hame kahi jana nahi hota hai ghar baithe paisa kamate hai aise to hum jaha chahe jitna chahe utne paise Invest kar sakte hai  lekin yaha hum utna hi batayenge jitna Invest kare to blog successful ban sake

1.  Top Extension Domain  :  Blog me aap kahi Invest kare ya na kare domain name par jarur Invest kare kyuki aapka jo brand hai aapka isi name par hi hai ek badhiya domain search engine ke liye bahut hi achha hota hai aap jub bhi domain le to best extension ka le like me  .com , .in etc mere pass kai blog hai kuchh private bhi

lekin mai Aapko sabhi jankari nahi share kar sakta but mai Aapko itna bata sakta hu mere  pass jitna bhi domain hai sabhi  .com ka hi hai aur domain name aap soch samajhkar le kyuki ek bar jo decide kar liya phir aap agar usse future me change karte hai to nuksan bahut jayada ho sakta hai

Budget Domain name  : Isme Aapko jayada Invest nahi karna padega kyuki strating time me hame  yah domain  1oo rs ke something me hi mil jati hai  ye  1 year ke liye hai iske bad hare k year  700-1000 rs tak ka kharch aayega

2.  Best Web Hosting And Popular Web Hosting Company : Domain ke bad agar Aapko paise Invest karna hai to sidhe iske bad Hosting me Invest kare agar aage Invest nahi karn hai to aap domain par hi ruk kar blogging kare iske liye mera aap ye post padhe Blogger.com par apna free Blog kaise banaye web hosting kitna jaruri hai

aap iss bat se nadaza laga sakte hai kisi insan ko rahne ke liye ghar kitna jruri hai aise to Aapko free hosting bhi mil jayegi kai company ke dawara lekin Aapko Invest karke paid hosting free hosting lene ka matlab ho station/platform par rahna kab kya hoga pata nahi

Budget  : Aise kai popular company hai jaise mai hostgatore se hosting le rakha hu  agar aap naye blogger hai to lazmi hai aapke pass traffic nahi hoga aap basic plan le bad me isse badha sakte hai Aapko  3 month ka  1800-2100 rs tak paid karna hoga

ब्लॉग्गिंग के लिए कब, कहाँ और कितना पैसा खर्च करें ?

3.  Badhiya blog ke liye Theme me bhi Invest kare : Aaj kal fashion ka jamana hai mere bhai jiss hotel Interior badhiya ho us hotel me kon nahi jana chahega kyuki hotel kaisa bana hai kitna badhiya design hai isi tarah aapka blog jitna badhiya hoga utne jayada visitor aayenge aap ek badhiya sa premium theme buy kar le aur usse achhe se customize kare ya bhi kisi se karwaye agar aapke pass buget nahi hai to aap free wala bhi use kar sakte hai

Budget : aise iska amount fix nahi hai koi theme  15$ , 25$ ,30$ ,35$ ,49$ ,67$ matlab aap kon sa theme buy kare rahe hai us hisab se Invest karna hoga

4.  Plugin  : Agar aap wordpress user hai to Aapko kai aise plugin hai jo Aapko buy karna hoga jaise hotel ka design kiya sirf design aur badhiya look hi nahi hotel me lock , fan etc aur bhi Chize lagti hai isi tarah hamare blog me in tarah ki chize ki jarurat padti hai  aise Aapko bahut sare free plugin milenege lekin pure service ke liye Aapko buy karna hoga

Budget : iska bhi koi fix nahi hai

5.  Blog Marketing karke blog ko jaldi popular banaye  – Agar aap kam time me apne blog ko famous karna chahte hai to kuchh paise aap yaha bhi lagaye jaise facebook, twitter etc par aap apne blog ko bahut kam budget me promote karke apni jankari bahut sare logo tak pahucha sakte hai

Budget :  aise to iska bhi koi fix nahi hai lekin facebook jaise plateform par aap apne blog ko promote karte ho to month ka  2000-5000 rs tak ka kharch aa jayega

6.   Blogging Me Jaldi Success Hone Ke Liye Paid Post Me Invest Kare – Aap bahut jald apni pahchan banana chahte hai aur good traffic lana chahte Kam time me blog se badhiya income karna chahte hai to aap content writer rakh sakte hai kyuki jub tak aapke pass bahut jayada post nahi hoga tab tak upar ke koi bhi chize nahi milengi

Budget : Ye aapke contant writer aur aapke blog niche par depend karta hai jaise mera tech blog hai to mai apne contant writer ko 100-380 rs tak paid karta hu kyuki abhi tak itna range ka hi post mila mai post qulity par payment karta hu ।

To dost yaha se Aapko ek idea lag hi gaya hoga Ek sucessfull blog banana ke liye hame kitne paise Invest karna chahiye Aapko kaisa laga hamara ye post ya phir Aapko lagta hai aur bhi kahi Invest karna chahiye starting me kyuki maine yaha jo kuchh bataya sabhi budget starting ke liye hai ।

71 कॉमेंट्स

  1. Bahaut badiya jankari di sir aapne jo naya blog banata hai use tik se pata nahi rahta ki kaha kaha paise krach karne hai aap is post me sare dout clear kar diye

जवाब दे

अपना कोमेंट लिखे
अपना नाम लिखे

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.